izhaar
mujhe aur kuchh nahīñ kahnā
jo kahnā thā vo kah Daalā
jo sahnā thā vo sah Daalā
tumhāre shahar meñ mujh ko
milī hai dard kī daulat
chalo jo bhī yahāñ paayā
tumhārī chaah meñ paayā
qasam le lo ki jīvan meñ
koī ḳhvāhish na thī merī
koī hājat na thī merī
bas in nainoñ ko dekhā to
na jaane kyā huā mujh ko
achānak be-ḳhudī meñ yuuñ
khaḌe ho kar chaurāhe par
hujūm-e-zindagī meñ aaj
mirī jaañ kah diyā maiñ ne
mujhe tum se mohabbat hai
mujhe tum se ye kahnā thā
jo kahnā thā vo kah Daalā
mujhe aur kuchh nahīñ kahnā
mujhe aur kuchh nahin kahna
jo kahna tha wo kah Dala
jo sahna tha wo sah Dala
tumhaare shahar mein mujh ko
mili hai dard ki daulat
chalo jo bhi yahan paya
tumhaari chah mein paya
qasam le lo ki jiwan mein
koi KHwahish na thi meri
koi hajat na thi meri
bas in nainon ko dekha to
na jaane kya hua mujh ko
achanak be-KHudi mein yun
khaDe ho kar chaurahe par
hujum-e-zindagi mein aaj
meri jaan kah diya main ne
mujhe tum se mohabbat hai
mujhe tum se ye kahna tha
jo kahna tha wo kah Dala
mujhe aur kuchh nahin kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.