izhaar
kaise maiñ bhī bhuul jā.ūñ
zindagī se apnā rabt-e-avvalīñ
ek duur uftāda qarye ke qarīb
ik junūñ afroz shaam
nahr par shīsham ke ashjār-e-buland
chāñdnī meñ in kī shāḳhoñ ke tale
tere paimān-e-mohabbat kā vo iz.hār-e-tavīl
ruuh kā iz.hār the bose mire
jaise merī shā.irī merā amal
ruuh kā iz.hār kaise bhuul jā.ūñ
kaise kar Dālūñ maiñ jism-o-rūh ko
aaj be-āhañg-o-nūr
tū ki thī us vaqt gum-nāmī ke ġhāroñ meñ nihāñ
mere hoñToñ hī ne dī tujh ko najāt
apnī rāhoñ par uThā laayā tujhe
zinda-e-jāved kar Daalā tujhe
jaise koī but-tarāsh
apne but ko zindagī ke nuur se tābāñ kare
is ko barg-o-bār dene ke liye
apne jism-o-rūh ko uryāñ kare
mere bose ruuh kā iz.hār the
ruuh jo iz.hār hī se zinda-o-tābinda hai
hai isī iz.hār se hāsil mujhe qurb-e-hayāt
ruuh kā iz.hār kaise bhuul jā.ūñ
kaise main bhi bhul jaun
zindagi se apna rabt-e-awwalin
ek dur uftada qarye ke qarib
ek junun afroz sham
nahr par shisham ke ashjar-e-buland
chandni mein in ki shaKHon ke tale
tere paiman-e-mohabbat ka wo izhaar-e-tawil
ruh ka izhaar the bose mere
jaise meri shairi mera amal
ruh ka izhaar kaise bhul jaun
kaise kar Dalun main jism-o-ruh ko
aaj be-ahang-o-nur
tu ki thi us waqt gum-nami ke ghaaron mein nihan
mere honTon hi ne di tujh ko najat
apni rahon par uTha laya tujhe
zinda-e-jawed kar Dala tujhe
jaise koi but-tarash
apne but ko zindagi ke nur se taban kare
is ko barg-o-bar dene ke liye
apne jism-o-ruh ko uryan kare
mere bose ruh ka izhaar the
ruh jo izhaar hi se zinda-o-tabinda hai
hai isi izhaar se hasil mujhe qurb-e-hayat
ruh ka izhaar kaise bhul jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.