jaDe ki dhup
peḌoñ se jab nīche utre
baal sukhāne aa.e dhuup
uun ke goloñ se jā lipTe
chaa.e pilāne aa.e dhuup
kamroñ meñ phir Dupkī Dupkī
aag jalāne aa.e dhuup
ruuTh ga.ī haiñ naanī ammāñ
un ko manāne aa.e dhuup
halve khāne ke din aa.e
sehat banāne aa.e dhuup
khel ke maidānoñ meñ jā pahuñche
shor machāne aa.e dhuup
dīvāroñ par rañg bikhere
aatī hai vo dhīre dhīre
peDon se jab niche utre
baal sukhane aae dhup
un ke golon se ja lipTe
chae pilane aae dhup
kamron mein phir Dupki Dupki
aag jalane aae dhup
ruTh gai hain nani amman
un ko manane aae dhup
halwe khane ke din aae
sehat banane aae dhup
khel ke maidanon mein ja pahunche
shor machane aae dhup
diwaron par rang bikhere
aati hai wo dhire dhire
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.