jadu
zindagī
hamvār
rāste par
gird-o-pesh se be-niyāz
ravāñ thī
achānak
rāhguzar
nā-hamvār huī
qadam girte sambhalte
laḌkhaḌāte
baḌhne lage
āñkheñ
kuchh kuchh bolne
bahut kuchh samajhne lagīñ
aur tab Darne bhī lagīñ
ye kis ne
jaadū kar diyā
mujh par
zindagi
hamwar
raste par
gird-o-pesh se be-niyaz
rawan thi
achanak
rahguzar
na-hamwar hui
qadam girte sambhalte
laDkhaDate
baDhne lage
aankhen
kuchh kuchh bolne
bahut kuchh samajhne lagin
aur tab Darne bhi lagin
ye kis ne
jadu kar diya
mujh par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.