jadugar
jab merā jī chāhe maiñ jaadū ke khel dikhā saktā huuñ
āñdhī ban kar chal saktā huuñ bādal ban kar chhā saktā huuñ
haath ke ek ishāre se paanī meñ aag lagā saktā huuñ
raakh ke Dher se taaza rañgoñ vaale phuul ugā saktā huuñ
itne ūñche āsamān ke taare toḌ ke lā saktā huuñ
merī umr to bas aaise hī khel dikhāte guzrī hai
apnī saañs ke sho.aloñ se gulzār khilāte guzrī hai
jhūTī sachchī bātoñ ke bāzār sajāte guzrī hai
patthar kī dīvāroñ ko sañgīt sunāte guzrī hai
apne dard ko duniyā kī nazroñ se chhupāte guzrī hai
jab mera ji chahe main jadu ke khel dikha sakta hun
aandhi ban kar chal sakta hun baadal ban kar chha sakta hun
hath ke ek ishaare se pani mein aag laga sakta hun
rakh ke Dher se taza rangon wale phul uga sakta hun
itne unche aasaman ke tare toD ke la sakta hun
meri umr to bas aaise hi khel dikhate guzri hai
apni sans ke shoalon se gulzar khilate guzri hai
jhuTi sachchi baaton ke bazar sajate guzri hai
patthar ki diwaron ko sangit sunate guzri hai
apne dard ko duniya ki nazron se chhupate guzri hai
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 122)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.