jaen kahan hum
tabī.at jo andar se jhunjhlā rahī hai
to bāhar se āvāz ye aa rahī hai
ki ai fāzil-e-dars-gāh-e-himāqat
hijābāt-e-dānish uThā kar bhī dekho
sharāfat ke pīchhe jigar ho gayā ḳhuuñ
sharāfat se pīchhā chhuḌā kar bhī dekho
azal se mohabbat ḳhudī kā hai zindāñ
ab is se zarā bāhar aa kar bhī dekho
muravvat ne pahnā.ī haiñ beḌiyāñ jo
zarā un kā lohā ghulā kar bhī dekho
tasavvur kī vaadī meñ bhaTkoge kab tak
kabhī shahr-e-imkāñ meñ jā kar bhī dekho
ġharaz 'maz.harī' is dayār-e-junūñ meñ
milā, kuchh na khone se pā kar bhī dekho
sunā mashvara terā ai saut-e-ġhaibī
zalālat kī sarhad meñ aa kar bhī dekhā
rizālat kī gardan meñ bāñheñ bhī Dālīñ
sharāfat se pīchhā chhuḌā kar bhī dekhā
hamiyyat kā ghoñTā galā rafta rafta
mohabbat ko phāñsī chaḌhā kar bhī dekhā
kaf-e-mor se us kā luqma bhī chhīnā
haq-e-ahl-e-ḳhidmat churā kar bhī dekhā
shu.ūr o ḳhirad ko ġhurūr o hasad ko
sulā kar bhī dekhā jagā kar bhī
phire kū-ba-kū aql kī rahbarī meñ
ġharaz ye ki kho kar bhii, pā kar bhī dekhā
na khone se hāsil, na paane se hāsil
jise suud kahte haiñ vo bhī ziyāñ hai
yahī bas ki taqdīr-e-aql o junūñ hai
yahī ḳhisht-e-ta.amīr-e-kaun-o-makāñ hai
mohabbat jahannam hai, nafrat jahannam
jidhar jaa.eñ ik aag shola-fishāñ hai
dayār-e-vafā yā dayār-e-havas ho
na rāhat yahāñ hai na rāhat vahāñ hai
sharāfat bhī ġham-gīñ rizālat bhī ġham-gīñ
bas ab muñh na khulvā ḳhudā darmiyāñ hai
samak se samā tak tapish hī tapish hai
fazā se ḳhalā tak fuġhāñ hī fuġhāñ hai
ḳhudī paañv pakḌe hai jaa.eñ kahāñ ham
tasavvur kī jannat banā.eñ kahāñ ham
tabiat jo andar se jhunjhla rahi hai
to bahar se aawaz ye aa rahi hai
ki ai fazil-e-dars-gah-e-himaqat
hijabaat-e-danish uTha kar bhi dekho
sharafat ke pichhe jigar ho gaya KHun
sharafat se pichha chhuDa kar bhi dekho
azal se mohabbat KHudi ka hai zindan
ab is se zara bahar aa kar bhi dekho
murawwat ne pahnai hain beDiyan jo
zara un ka loha ghula kar bhi dekho
tasawwur ki wadi mein bhaTkoge kab tak
kabhi shahr-e-imkan mein ja kar bhi dekho
gharaz 'mazhari' is dayar-e-junun mein
mila, kuchh na khone se pa kar bhi dekho
suna mashwara tera ai saut-e-ghaibi
zalalat ki sarhad mein aa kar bhi dekha
rizalat ki gardan mein banhen bhi Dalin
sharafat se pichha chhuDa kar bhi dekha
hamiyyat ka ghonTa gala rafta rafta
mohabbat ko phansi chaDha kar bhi dekha
kaf-e-mor se us ka luqma bhi chhina
haq-e-ahl-e-KHidmat chura kar bhi dekha
shuur o KHirad ko ghurur o hasad ko
sula kar bhi dekha jaga kar bhi
phire ku-ba-ku aql ki rahbari mein
gharaz ye ki kho kar bhi, pa kar bhi dekha
na khone se hasil, na pane se hasil
jise sud kahte hain wo bhi ziyan hai
yahi bas ki taqdir-e-aql o junun hai
yahi KHisht-e-tamir-e-kaun-o-makan hai
mohabbat jahannam hai, nafrat jahannam
jidhar jaen ek aag shola-fishan hai
dayar-e-wafa ya dayar-e-hawas ho
na rahat yahan hai na rahat wahan hai
sharafat bhi gham-gin rizalat bhi gham-gin
bas ab munh na khulwa KHuda darmiyan hai
samak se sama tak tapish hi tapish hai
faza se KHala tak fughan hi fughan hai
KHudi panw pakDe hai jaen kahan hum
tasawwur ki jannat banaen kahan hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.