jaeza
zindagī kī tavīl rātoñ meñ
jab kabhī jā.eza liyā maiñ ne
zindagī ko ajiib paayā hai
aur maiñ sochtā hī rahtā huuñ
zindagī bhī ajiib chakkar hai
kabhī shahnā.iyoñ meñ Dastī hai
kabhī shahnā.iyoñ meñ bastī hai
kabhī dīvāna-vār hañstī hai
aur kabhī maut ko tarastī hai
al-ġharaz ik sarāb hai hastī
kitnī ḳhāna-ḳharāb hai hastī
zindagi ki tawil raaton mein
jab kabhi jaeza liya main ne
zindagi ko ajib paya hai
aur main sochta hi rahta hun
zindagi bhi ajib chakkar hai
kabhi shahnaiyon mein Dasti hai
kabhi shahnaiyon mein basti hai
kabhi diwana-war hansti hai
aur kabhi maut ko tarasti hai
al-gharaz ek sarab hai hasti
kitni KHana-KHarab hai hasti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.