jagir
phir usī vādi-e-shādāb meñ lauT aayā huuñ
jis meñ pinhāñ mire ḳhvāboñ kī tarab-gāheñ haiñ
mere ahbāb ke sāmān-e-ta.ayyush ke liye
shoḳh siine haiñ javāñ jism hasīñ bāñheñ haiñ
sabz khetoñ meñ ye dubkī huī doshīzā.eñ
in kī shiryānoñ meñ kis kis kā lahū jaarī hai
kis meñ jur.at hai ki is raaz kī tash.hīr kare
sab ke lab par mirī haibat kā fusūñ taarī hai
haa.e vo garm o dil-āvez ubalte siine
jin se ham satvat-e-ābā kā sila lete haiñ
jaane un marmarīñ jismoñ ko ye mariyal dahqāñ
kaise in tiira gharoñdoñ meñ janam dete haiñ
ye lahakte hue paude ye damakte hue khet
pahle ajdād kī jāgīr the ab mere haiñ
ye charā-gāh ye revaḌ ye maveshī ye kisān
sab ke sab mere haiñ sab mere haiñ sab mere haiñ
in kī mehnat bhī mirī hāsil-e-mehnat bhī mirā
in ke baazū bhī mire quvvat-e-bāzū bhī mirī
maiñ ḳhudāvand huuñ us vus.at-e-be-pāyāñ kā
mauj-e-āriz bhī mirī nik.hat-e-gesū bhī mirī
maiñ un ajdād kā beTā huuñ jinhoñ ne paiham
ajnabī qaum ke saa.e kī himāyat kī hai
uzr kī sā.at-e-nāpāk se le kar ab tak
har kaḌe vaqt meñ sarkār kī ḳhidmat kī hai
ḳhaak par reñgne vaale ye fasurda Dhāñche
in kī nazreñ kabhī talvār banī haiñ na banīñ
in kī ġhairat pe har ik haath jhapaT saktā hai
in ke abrū kī kamāneñ na tanī haiñ na tanīñ
haa.e ye shaam ye jharne ye shafaq kī laalī
maiñ in āsūda fazāoñ meñ zarā jhuum na luuñ
vo dabe paañv idhar kaun chalī jaatī hai
baḌh ke us shoḳh ke tarshe hue lab chuum na luuñ
phir usi wadi-e-shadab mein lauT aaya hun
jis mein pinhan mere KHwabon ki tarab-gahen hain
mere ahbab ke saman-e-tayyush ke liye
shoKH sine hain jawan jism hasin banhen hain
sabz kheton mein ye dubki hui doshizaen
in ki shiryanon mein kis kis ka lahu jari hai
kis mein jurat hai ki is raaz ki tashhir kare
sab ke lab par meri haibat ka fusun tari hai
hae wo garm o dil-awez ubalte sine
jin se hum satwat-e-aba ka sila lete hain
jaane un marmarin jismon ko ye mariyal dahqan
kaise in tera gharondon mein janam dete hain
ye lahakte hue paude ye damakte hue khet
pahle ajdad ki jagir the ab mere hain
ye chara-gah ye rewaD ye maweshi ye kisan
sab ke sab mere hain sab mere hain sab mere hain
in ki mehnat bhi meri hasil-e-mehnat bhi mera
in ke bazu bhi mere quwwat-e-bazu bhi meri
main KHudawand hun us wusat-e-be-payan ka
mauj-e-ariz bhi meri nikhat-e-gesu bhi meri
main un ajdad ka beTa hun jinhon ne paiham
ajnabi qaum ke sae ki himayat ki hai
uzr ki saat-e-napak se le kar ab tak
har kaDe waqt mein sarkar ki KHidmat ki hai
KHak par rengne wale ye fasurda Dhanche
in ki nazren kabhi talwar bani hain na banin
in ki ghairat pe har ek hath jhapaT sakta hai
in ke abru ki kamanen na tani hain na tanin
hae ye sham ye jharne ye shafaq ki lali
main in aasuda fazaon mein zara jhum na lun
wo dabe panw idhar kaun chali jati hai
baDh ke us shoKH ke tarshe hue lab chum na lun
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 115)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.