jagne se pahle
pahāḌoñ kī chāñdī sifat choTiyāñ
āsmāñ chhū rahī haiñ
zamīñ ke badan meñ
shajar apnī lambī nukīlī jaḌeñ
bo rahā hai
har ik shaḳhs sāhil pe
ik dūsre se chimaT
paḌā hai
samandar kī maujeñ
agar koī saa.at junūñ-ḳhez Thahreñ
samandar magar
roz-e-avval se ḳhāmosh hai
apnī vus.at kā shāyad
har ik samt vo jā.eza le rahā hai
pahaDon ki chandi sifat choTiyan
aasman chhu rahi hain
zamin ke badan mein
shajar apni lambi nukili jaDen
bo raha hai
har ek shaKHs sahil pe
ek dusre se chimaT
paDa hai
samandar ki maujen
agar koi saat junun-KHez Thahren
samandar magar
roz-e-awwal se KHamosh hai
apni wusat ka shayad
har ek samt wo jaeza le raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.