jagti aankhon ke KHwab
maiñ kyā likkhūñ
tumhāre vāste
ai nīm-jān-o-soḳhta-tan
vādī-e-qatl-e-amāñ ke bāsiyo
maiñ kyā likkhūñ
koī nauha tumhāre rū-ba-rū
sharminda-e-tāsīr na hogā
koī harf-e-hikāyat
sabr kī tasvīr na hogā
yahī to jāgtī āñkhoñ se tum ne ḳhvāb dekhe the
ki is banjar zamīñ par apne ḳhuuñ kī fasl Tāñkoge
har ik manzar meñ amn-o-āshtī ke rang phailā kar
har ik chehre ko nūr-e-itmīnān-e-qalb bāñToge
isī banjar zamīñ pe ḳhāk-o-ḳhūñ meñ aaj ġhaltāñ ho
to phir kyoñ sar-burīda shāḳh kī mānind be-jāñ ho
ye honā thā to kyoñ phir is ke ho jaane pe hairāñ ho
mire logo
tumhārī band āñkheñ
jāgtī āñkhoñ ke ḳhvāboñ kī
tumheñ ta.abīr detī haiñ
isī banjar zamīñ meñ
qabr kī jāgīr detī haiñ
main kya likkhun
tumhaare waste
ai nim-jaan-o-soKHta-tan
wadi-e-qatl-e-aman ke basiyo
main kya likkhun
koi nauha tumhaare ru-ba-ru
sharminda-e-tasir na hoga
koi harf-e-hikayat
sabr ki taswir na hoga
yahi to jagti aankhon se tum ne KHwab dekhe the
ki is banjar zamin par apne KHun ki fasl Tankoge
har ek manzar mein amn-o-ashti ke rang phaila kar
har ek chehre ko nur-e-itminan-e-qalb banToge
isi banjar zamin pe KHak-o-KHun mein aaj ghaltan ho
to phir kyon sar-burida shaKH ki manind be-jaan ho
ye hona tha to kyon phir is ke ho jaane pe hairan ho
mere logo
tumhaari band aankhen
jagti aankhon ke KHwabon ki
tumhein tabir deti hain
isi banjar zamin mein
qabr ki jagir deti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.