jam-e-jam ke sath
kaaTī hai umr abrū-e-teġh-e-do-dam ke saath
maiñ us ke dam ke saath huuñ vo mere dam ke saath
dasht-e-junūñ simaT ke kaf-e-pā se jā milā
manzil lipaT ke rah ga.ī naqsh-e-qadam ke saath
āvāra-gardī fāqa-kashī fikr-e-rozgār
ye sab balā.eñ lipTī haiñ āshiq ke dam ke saath
afyūñ kā daur bhī hai mai-e-arġhavāñ ke baad
jām-e-sifāl haath meñ hai jām-e-jam ke saath
ai shaiḳh tauba rum nahīñ hogī kabhī harām
maujūd ram hai dekh haram aur iram ke saath
Duubā huā huuñ ḳhāl-e-dahan kī research meñ
Takrā rahā huuñ sāhil-e-bahr-e-adam ke saath
ek Queue hai āsmāñ se zamīñ tak lagā huā
ġham ġham ke baad aur alam hai alam ke saath
aise salām ko hai mirā duur se salām
hotā hai jo salām ka.ī pech-o-ḳham ke saath
kal tak bhī baat karne kā jin ko na thā shu.ūr
vo ham se baat karne lage aaj ham ke saath
itnā ḳhamīda ho gayā piirī ke haath se
kartā huuñ ik salām bhī sau pech-o-ḳham ke saath
kaTi hai umr abru-e-tegh-e-do-dam ke sath
main us ke dam ke sath hun wo mere dam ke sath
dasht-e-junun simaT ke kaf-e-pa se ja mila
manzil lipaT ke rah gai naqsh-e-qadam ke sath
aawara-gardi faqa-kashi fikr-e-rozgar
ye sab balaen lipTi hain aashiq ke dam ke sath
afyun ka daur bhi hai mai-e-arghawan ke baad
jam-e-sifal hath mein hai jam-e-jam ke sath
ai shaiKH tauba rum nahin hogi kabhi haram
maujud ram hai dekh haram aur iram ke sath
Duba hua hun KHal-e-dahan ki research mein
Takra raha hun sahil-e-bahr-e-adam ke sath
ek Queue hai aasman se zamin tak laga hua
gham gham ke baad aur alam hai alam ke sath
aise salam ko hai mera dur se salam
hota hai jo salam kai pech-o-KHam ke sath
kal tak bhi baat karne ka jin ko na tha shuur
wo hum se baat karne lage aaj hum ke sath
itna KHamida ho gaya piri ke hath se
karta hun ek salam bhi sau pech-o-KHam ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.