jamia-usmaniya
ai ki terī ḳhidmateñ sarmāya-dār-e-ilm haiñ
terā maqsad ziist kā āġhāz-e-ḳhush-anjām hai
ai ki terī jiddateñ ā.īna-dār-e-ilm haiñ
dā.imī taskīñ zamāne ko tirā paiġhām hai
tere paikar meñ nihāñ hai ḳhvāhish-e-auj-e-kamāl
hai tirī ta.amīr meñ ilm-o-amal kī kā.enāt
tere siine meñ hai muztar jumbish-e-mauj-e-ḳhayāl
chashma-e-baḳhshish hai terā chashma-e-āb-e-hayāt
terī har harakat meñ maḳhfī ārzū-e-iztirār
terī tadbīr-e-amal par inhisār-e-zindagī
tere har ārām meñ pinhāñ sukūt-e-be-qarār
terā ehsās-e-karam jān-e-bahār-e-zindagī
kaash tū mere liye vajh-e-kashūd-e-kār ho
terī qum se baḳht-e-ḳhvābīda mirā bedār ho
ai ki teri KHidmaten sarmaya-dar-e-ilm hain
tera maqsad zist ka aaghaz-e-KHush-anjam hai
ai ki teri jiddaten aaina-dar-e-ilm hain
daimi taskin zamane ko tera paigham hai
tere paikar mein nihan hai KHwahish-e-auj-e-kamal
hai teri tamir mein ilm-o-amal ki kaenat
tere sine mein hai muztar jumbish-e-mauj-e-KHayal
chashma-e-baKHshish hai tera chashma-e-ab-e-hayat
teri har harakat mein maKHfi aarzu-e-iztirar
teri tadbir-e-amal par inhisar-e-zindagi
tere har aaram mein pinhan sukut-e-be-qarar
tera ehsas-e-karam jaan-e-bahaar-e-zindagi
kash tu mere liye wajh-e-kashud-e-kar ho
teri qum se baKHt-e-KHwabida mera bedar ho
- Maikhana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.