jamid lamhon ke sae
cholā badalne se
ḳhaslat nahīñ badaltī logo
tum apne sehhat-mand jism par chāhe kitnā hī
ġhāza mal lo
us se ruuh ke zaḳhm kabhī bhar nahīñ sakte
ruuh kī pyaas bujhāne ke liye
tumheñ in hī miTTī se ubalte hue chashmoñ kī
zarūrat hogī ek din
ḳhushbū ban kar ākāsh par uḌne vāloñ ko bhī
abadī sukūn miTTī ke hī bistaroñ pe milā kartā hai
vaqt Thahar jaatā hai
jahāñ jāmid lamhoñ ke saa.e meñ
milte haiñ do pyār-bhare dil taḳhlīq-e-nau kā ḳhumār liye
vahī sach hai
vahī taqve kā aslī jahāñ
vahī hai ḳhudā kā azlī makāñ
chola badalne se
KHaslat nahin badalti logo
tum apne sehhat-mand jism par chahe kitna hi
ghaza mal lo
us se ruh ke zaKHm kabhi bhar nahin sakte
ruh ki pyas bujhane ke liye
tumhein in hi miTTi se ubalte hue chashmon ki
zarurat hogi ek din
KHushbu ban kar aakash par uDne walon ko bhi
abadi sukun miTTi ke hi bistaron pe mila karta hai
waqt Thahar jata hai
jahan jamid lamhon ke sae mein
milte hain do pyar-bhare dil taKHliq-e-nau ka KHumar liye
wahi sach hai
wahi taqwe ka asli jahan
wahi hai KHuda ka azli makan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.