jaanan
rūThnā thā kise manānā thā
vaqt ke saath gungunānā thā
lahr dariyā ke saath rahtī hai
bijlī bādal meñ hai ajab rishta
saañs kī Dor ban ke jism ke saath
ruuh har lamha hai ravānī meñ
kheltī hai vo aag paanī meñ
vaqt kī baat hai alag jānāñ
husn sauġhāt hai alag jānāñ
phuul se rūThtī hai kab ḳhushbū
raat se rūThtā hai kab jugnū
nain se duur kab rahā jaadū
hañste hañste nikal ga.e aañsū
yuuñ to har shai ko hai fanā ya.anī
rah gayā apnā mudda.ā ya.anī
is tarah se koī nahīñ jaatā
jis tarah ruuTh kar ga.e jānāñ
ruThna tha kise manana tha
waqt ke sath gungunana tha
lahr dariya ke sath rahti hai
bijli baadal mein hai ajab rishta
sans ki Dor ban ke jism ke sath
ruh har lamha hai rawani mein
khelti hai wo aag pani mein
waqt ki baat hai alag jaanan
husn saughat hai alag jaanan
phul se ruThti hai kab KHushbu
raat se ruThta hai kab jugnu
nain se dur kab raha jadu
hanste hanste nikal gae aansu
yun to har shai ko hai fana yani
rah gaya apna muddaa yani
is tarah se koi nahin jata
jis tarah ruTh kar gae jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.