jaane kya baat hui thi jo mujhe yaad nahin
jaane kyā baat huī thī jo mujhe yaad nahīñ
raat kā pahlā qadam thā ki vo thā pichhlā pahar
chauḌe darvāze se niklī thī vo ma.asūm sahar
ek dastak sunā.ī dī thī yā thā merā vahm
gungunātī huī ḳhāmoshī thī yā merā bharam
niiñd chauñkī thī yā ḳhvāboñ ke sanam TuuTe the
ek dhundlī sī shakl yaad hai ab bhī mujh ko
gandumī rang pe juḌvāñ se sunahrī shīshe
rāsta kho.e se hairān farishtoñ jaise
apnī palkoñ meñ sadāqat kā shor thāme hue
jhiil se gahrī aqīdat kī Dor thāme hue
tak rahī haiñ mujhe yaksāñ take jaatī haiñ
yaad aa.ī thiiñ vo jaagī huī āñkheñ kal raat
koī kah de to sahī pichhle janam jhūTe the
jaane kya baat hui thi jo mujhe yaad nahin
raat ka pahla qadam tha ki wo tha pichhla pahar
chauDe darwaze se nikli thi wo masum sahar
ek dastak sunai di thi ya tha mera wahm
gungunati hui KHamoshi thi ya mera bharam
nind chaunki thi ya KHwabon ke sanam TuTe the
ek dhundli si shakl yaad hai ab bhi mujh ko
gandumi rang pe juDwan se sunahri shishe
rasta khoe se hairan farishton jaise
apni palkon mein sadaqat ka shor thame hue
jhil se gahri aqidat ki Dor thame hue
tak rahi hain mujhe yaksan take jati hain
yaad aai thin wo jagi hui aankhen kal raat
koi kah de to sahi pichhle janam jhuTe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.