jaane kya sach hai yahan
jaane kyā sach hai yahāñ
kahkashāoñ kā ye jaadū ki guzar-gāh-e-ḳhayāl
koī taarā
ki darīche meñ chamaktā huā chāñd
yā mire surḳh papoToñ pe rakhe ḳhvāb kī vahshat kā ġhubār
yā kisī jism ko chhū lene kī ḳhvāhish meñ bhaTaktī huī aañkh
yā rag-o-pai meñ sulagtī huī lazzat kā ḳhumār
koī inkār ki iqrār
jaane kyā sach hai yahāñ
shām-e-afsos kā Duubā huā sūraj yā koī sub.h-e-visāl
kahkashāoñ kā ye jaadū ki guzar-gāh-e-ḳhayāl
koī paiġhām-e-mohabbat ye siyāsat yā kisī halqa-e-zanjīr meñ jism
raah meñ jhukte hue sar yā kisī shaah ke maġhrūr qadam
yā kisī mauj meñ aa.e hue majzūb kā rauñdā huā taaj
laḌkhaḌāte hue palḌoñ meñ ye insāf kī bhiik
ye mo.arriḳh kī lahū chāTtī miTTī kā bayāñ
jaane kyā sach hai yahāñ
apne hone kī haqīqat yā kisī qabr meñ gaaḌe hue katbe kī darāḌ
ye ḳhudā yā kisī dargāh pe rakkhe hue aañsū kī tapish
merā īmāñ ki sanam-ḳhāna-e-tanhā.ī meñ
us but-e-kāfir kī kashish
apne marne kī tamanna hai ki jiine kī ḳhalish
ai guzar-gāh-e-ḳhayāl
ab kisī roz to khul jaa.e ye uqda āḳhir
ġhaar ke muñh se haTā.e koī patthar aa kar
ḳhaak meñ uḌte mah-o-sāl kā asrār khule
vo jo dīvār ke us paar hai is paar khule
jaane kya sach hai yahan
kahkashaon ka ye jadu ki guzar-gah-e-KHayal
koi tara
ki dariche mein chamakta hua chand
ya mere surKH papoTon pe rakhe KHwab ki wahshat ka ghubar
ya kisi jism ko chhu lene ki KHwahish mein bhaTakti hui aankh
ya rag-o-pai mein sulagti hui lazzat ka KHumar
koi inkar ki iqrar
jaane kya sach hai yahan
sham-e-afsos ka Duba hua suraj ya koi subh-e-visal
kahkashaon ka ye jadu ki guzar-gah-e-KHayal
koi paigham-e-mohabbat ye siyasat ya kisi halqa-e-zanjir mein jism
rah mein jhukte hue sar ya kisi shah ke maghrur qadam
ya kisi mauj mein aae hue majzub ka raunda hua taj
laDkhaDate hue palDon mein ye insaf ki bhik
ye moarriKH ki lahu chaTti miTTi ka bayan
jaane kya sach hai yahan
apne hone ki haqiqat ya kisi qabr mein gaDe hue katbe ki daraD
ye KHuda ya kisi dargah pe rakkhe hue aansu ki tapish
mera iman ki sanam-KHana-e-tanhai mein
us but-e-kafir ki kashish
apne marne ki tamanna hai ki jine ki KHalish
ai guzar-gah-e-KHayal
ab kisi roz to khul jae ye uqda aaKHir
ghaar ke munh se haTae koi patthar aa kar
KHak mein uDte mah-o-sal ka asrar khule
wo jo diwar ke us par hai is par khule
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.