jab maiñ tum se miltā huuñ
ba.ad ek muddat ke
tum ko apnā kahne meñ
tum se baat karne meñ
jaane kyuuñ jhijhaktā huuñ
aur sochtā huuñ maiñ
vaqt ke taqāzoñ se
tum badal bhī saktī ho
har dafa magar tum meñ
vo hī apnā-pan paayā
vo hī sādgī paa.ī
be-takallufī paa.ī
ye yaqīn ho aayā
tum badal nahīñ saktīñ
phir bhī aisā hotā hai
jab maiñ tum se miltā huuñ
ba.ad ek muddat ke
tum ko apnā kahne meñ
tum se baat karne meñ
jaane kyuuñ jhijhaktā huuñ
jab main tum se milta hun
baad ek muddat ke
tum ko apna kahne mein
tum se baat karne mein
jaane kyun jhijhakta hun
aur sochta hun main
waqt ke taqazon se
tum badal bhi sakti ho
har dafa magar tum mein
wo hi apna-pan paya
wo hi sadgi pai
be-takallufi pai
ye yaqin ho aaya
tum badal nahin saktin
phir bhi aisa hota hai
jab main tum se milta hun
baad ek muddat ke
tum ko apna kahne mein
tum se baat karne mein
jaane kyun jhijhakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.