jao ab rote raho
tum nahīñ jānte
is dhund kā qissa kyā hai
dhund jis meñ ka.ī zanjīreñ haiñ
ek zanjīr
kisī phuul kisī shabd
kisī taa.ir kī
ek zanjīr kisī rañg kisī barq
kisī paanī kī
zulf o ruḳhsār
lab o chashm kī peshānī kī
tum nahīñ jānte
is dhund kā zanjīroñ se rishta kyā hai
ye fusūñ-kār tamāshā kyā hai!
tum ne bas dhund ke us paar se
tīroñ ke nishāne bāñdhe
aur idhar maiñ ne tumhāre liye
jhankār meñ dil rakh diyā
kaḌiyoñ meñ zamāne bāñdhe
jaao ab rote raho
vaqt ke mahbas meñ
ḳhud apne hī gale se lag kar
tum mire sīna-e-sad-rañg ke
haqdār nahīñ
ab tumhāre mire mābain
kisī diid kā
nā-dīd kā asrār nahīñ!!
tum nahin jaante
is dhund ka qissa kya hai
dhund jis mein kai zanjiren hain
ek zanjir
kisi phul kisi shabd
kisi tair ki
ek zanjir kisi rang kisi barq
kisi pani ki
zulf o ruKHsar
lab o chashm ki peshani ki
tum nahin jaante
is dhund ka zanjiron se rishta kya hai
ye fusun-kar tamasha kya hai!
tum ne bas dhund ke us par se
tiron ke nishane bandhe
aur idhar main ne tumhaare liye
jhankar mein dil rakh diya
kaDiyon mein zamane bandhe
jao ab rote raho
waqt ke mahbas mein
KHud apne hi gale se lag kar
tum mere sina-e-sad-rang ke
haqdar nahin
ab tumhaare mere mabain
kisi did ka
na-did ka asrar nahin!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.