jap
aa mere andar aa
pavitra mahrān ke paanī
ThanDe mīThe maTyāle paanī
maTiyāle jīvan rañg jal
dho de saarā krodh kapaT
shahroñ kī dishāoñ kā sab chhal
yuuñ sīñch mujhe kar de merī miTTī jal-thal
tire tal kī kaalī chiknī miTTī se
māthe par tilak lagā.ūñ
haath joḌ DañDvat karūñ
o man ke bhed se gahre
haule haule saañs khīñchte
om samān amar
o mahān sāgar
maiñ utrī tere ThanDe jal meñ kamar kamar
tere ThanDe mīThe mehrbān paanī se muñh dho luuñ
aur dho luuñ aañsū
khāre aañsū
tere mīThe paanī se dho luuñ
o mahān maTiyāle sāgar aa
sun mirī kathā
maiñ baḌī abhāgan bhaag merā
bedard haath meñ rahā sadā
TuuTā merā miTTī se naata
kaise TuuTā
ik āñdhī baḌī bhayānak laal chuḌail
mujhe le uḌī
uThā kar paTkā us ne kahāñ se kahāñ
tere charnoñ meñ siis jhukātī ek akelī jaan
mere saath merā koī miit nahīñ
koī rañg ruup koī priit nahīñ
mirī an-gaḌh phīkī murjhātī bolī meñ koī sañgīt nahīñ
mirī pīḌhiyoñ ke biite yug mere saath nahīñ
bas ik nirda.ī dharam hai
jis kā bharam nahīñ
vo dharam jo kahtā hai miTTī mirī bairan hai
jo mujhe sikhātā hai sāgar merā dushman hai
haañ duur kahīñ
ākāsh kī ūñchā.ī se pare
rahtā hai ḳhudā
itnā rūkhā
miTTī se joḌ nahīñ jis kā
sab naate priit aur bair ke us kī kāran maiñ kaise joḌūñ
maiñ miTTī merā janam miTTī
maiñ miTTī ko kaise chhoḌūñ
o maTiyāle balvān mahā-sāgar
maiñ ukhḌī dhartī se
bhagvān mirā ras suukh gayā
phir bhī suntī huuñ apne lahū meñ biite samay kī narm dhamak
vo samay jo mere janam se pahle biit gayā
mere kānoñ meñ
ik shor hai jhar-jhar bahte naddī nāloñ kā
aur koī mahak baḌī be-kal hai
jo guuñj banī mirī chhātī se Takrātī hai
o mahān sāgar
jīvan-ras de
apne tal meñ jal-paudā ban kar jaḌ lene de
sadā jiye
o mahān sāgar sindhū
tū sadā jiye
aur ji.eñ tire paanī meñ phisaltī machhliyāñ
shānt sukhī yūñhī
tire paanī meñ naav khete
tire bālak sadā ji.eñ
o pālan-hār hamāre
dhartī ke rakhvāle
ann-dātā
tirī dhartī
narm retīlī mehrbān sindh kī dhartī
sadā jiye
aa mere andar aa
pawitra mahran ke pani
ThanDe miThe maTyale pani
maTiyale jiwan rang jal
dho de sara krodh kapaT
shahron ki dishaon ka sab chhal
yun sinch mujhe kar de meri miTTi jal-thal
tere tal ki kali chikni miTTi se
mathe par tilak lagaun
hath joD DanDwat karun
o man ke bhed se gahre
haule haule sans khinchte
om saman amar
o mahan sagar
main utri tere ThanDe jal mein kamar kamar
tere ThanDe miThe mehrban pani se munh dho lun
aur dho lun aansu
khaare aansu
tere miThe pani se dho lun
o mahan maTiyale sagar aa
sun meri katha
main baDi abhagan bhag mera
bedard hath mein raha sada
TuTa mera miTTi se nata
kaise TuTa
ek aandhi baDi bhayanak lal chuDail
mujhe le uDi
uTha kar paTka us ne kahan se kahan
tere charnon mein sis jhukati ek akeli jaan
mere sath mera koi mit nahin
koi rang rup koi prit nahin
meri an-gaDh phiki murjhati boli mein koi sangit nahin
meri piDhiyon ke bite yug mere sath nahin
bas ek nirdai dharam hai
jis ka bharam nahin
wo dharam jo kahta hai miTTi meri bairan hai
jo mujhe sikhata hai sagar mera dushman hai
han dur kahin
aakash ki unchai se pare
rahta hai KHuda
itna rukha
miTTi se joD nahin jis ka
sab nate prit aur bair ke us ki karan main kaise joDun
main miTTi mera janam miTTi
main miTTi ko kaise chhoDun
o maTiyale balwan maha-sagar
main ukhDi dharti se
bhagwan mera ras sukh gaya
phir bhi sunti hun apne lahu mein bite samay ki narm dhamak
wo samay jo mere janam se pahle bit gaya
mere kanon mein
ek shor hai jhar-jhar bahte naddi nalon ka
aur koi mahak baDi be-kal hai
jo gunj bani meri chhati se Takraati hai
o mahan sagar
jiwan-ras de
apne tal mein jal-pauda ban kar jaD lene de
sada jiye
o mahan sagar sindhu
tu sada jiye
aur jien tere pani mein phisalti machhliyan
shant sukhi yunhi
tere pani mein naw khete
tere baalak sada jien
o palan-haar hamare
dharti ke rakhwale
ann-data
teri dharti
narm retili mehrban sindh ki dharti
sada jiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.