jarub-kash
āsmānoñ ke tale sabz-o-ḳhunuk goshoñ meñ
koī hogā jise ik sā.at-e-rāhat mil jaa.e
ye ghaḌī tere muqaddar meñ nahīñ hai na sahī
āsmānoñ ke tale talḳh-o-siyah rāhoñ par
itne ġham bikhre paḌe haiñ ki agar tū chun le
koī ik ġham tirī qismat ko badal saktā hai
āsmānoñ ke tale talḳh-o-siyah rāhoñ par
tū agar dekhe to ḳhushiyoñ kī gurezāñ sarhad
soz-e-yak-ġham se shakeb-e-ġham-e-dīgar tak hai
zindagī qahr sahī zahr sahī kuchh bhī sahī
āsmānoñ ke tale talḳh-o-siyah lamhoñ meñ
jur.a-e-sam ke liye iffat-e-lab lāzim hai
aur tū hai ki tire jism kā saaya bhī najis
tū agar chāhe to in talḳh-o-siyah rāhoñ par
jā-ba-jā itnī taḌaptī huī duniyāoñ meñ
itne ġham bikhre paḌe haiñ ki jinheñ terī hayāt
qūt-e-yak-shab ke taqaddus meñ samo saktī hai
kaash tū hīla-e-jārūb ke par noch sake
kaash tū soch sake soch sake
aasmanon ke tale sabz-o-KHunuk goshon mein
koi hoga jise ek saat-e-rahat mil jae
ye ghaDi tere muqaddar mein nahin hai na sahi
aasmanon ke tale talKH-o-siyah rahon par
itne gham bikhre paDe hain ki agar tu chun le
koi ek gham teri qismat ko badal sakta hai
aasmanon ke tale talKH-o-siyah rahon par
tu agar dekhe to KHushiyon ki gurezan sarhad
soz-e-yak-gham se shakeb-e-gham-e-digar tak hai
zindagi qahr sahi zahr sahi kuchh bhi sahi
aasmanon ke tale talKH-o-siyah lamhon mein
jura-e-sam ke liye iffat-e-lab lazim hai
aur tu hai ki tere jism ka saya bhi najis
tu agar chahe to in talKH-o-siyah rahon par
ja-ba-ja itni taDapti hui duniyaon mein
itne gham bikhre paDe hain ki jinhen teri hayat
qut-e-yak-shab ke taqaddus mein samo sakti hai
kash tu hila-e-jarub ke par noch sake
kash tu soch sake soch sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.