tumhārī diid kī ḳhātir mirī āñkheñ tarastī haiñ
ki jab bārish barastī hai
tumhārī baat kānoñ meñ ajab ras ghol detī hai
ki bārish ke hasīñ qatre mire ruḳhsār par aa.e
tumheñ vo phuul lagte the
kahā tū ne
unheñ maiñ chuum letā huuñ
mirī sharm-o-hayā us dam baḌī bebāk hotī thī
kamar meñ haath Daale ham
bahut hī der tak bhīge
kahā maiñ ne
tumhārī sharbatī āñkheñ
mujhe mad.hosh kartī haiñ
tumhāre lams kā bādal
mujhe pur-josh kartā hai
tumhāre pyaar kī bārish
baḌī jal-thal sī kartī hai
mujhe pāgal sā kartī hai
tumhaari did ki KHatir meri aankhen tarasti hain
ki jab barish barasti hai
tumhaari baat kanon mein ajab ras ghol deti hai
ki barish ke hasin qatre mere ruKHsar par aae
tumhein wo phul lagte the
kaha tu ne
unhen main chum leta hun
meri sharm-o-haya us dam baDi bebak hoti thi
kamar mein hath Dale hum
bahut hi der tak bhige
kaha main ne
tumhaari sharbati aankhen
mujhe madhosh karti hain
tumhaare lams ka baadal
mujhe pur-josh karta hai
tumhaare pyar ki barish
baDi jal-thal si karti hai
mujhe pagal sa karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.