jab chali sard hawa
mausam-e-sarmā kī ye vīrān aur maġhmūm shaam
kohar kī chādar meñ lipTī hai sisaktī kā.enāt
giit ḳhvāboñ kī tarah larzāñ sulagtī hai hayāt
barf meñ Duubī havā kī sīTiyāñ
chiil ke jangal kī mīThī loriyāñ
Dagmagāte haiñ pareshāñ muzmahil lamhoñ ke gaam
chār-sū āvāz de kar pūchhtā phirtā huuñ maiñ
in havāoñ kī jabīn-e-nāz par
kyā kahīñ likkhā huā hai merā naam
uḌ rahe haiñ rāstoñ par zard patte jo kabhī
chand lamhoñ ko bane the zīnat-e-shāḳh-e-shajar
jaane ye kab tak raheñge yuuñ havā ke dosh par
kū-ba-kū qarya-ba-qarya yam-ba-yam mahv-e-safar
dukh ke lambe silsile aur chand lamhoñ kī ḳhushī
haa.e apnī zindagī
mausam-e-sarma ki ye viran aur maghmum sham
kohar ki chadar mein lipTi hai sisakti kaenat
git KHwabon ki tarah larzan sulagti hai hayat
barf mein Dubi hawa ki siTiyan
chil ke jangal ki miThi loriyan
Dagmagate hain pareshan muzmahil lamhon ke gam
chaar-su aawaz de kar puchhta phirta hun main
in hawaon ki jabin-e-naz par
kya kahin likkha hua hai mera nam
uD rahe hain raston par zard patte jo kabhi
chand lamhon ko bane the zinat-e-shaKH-e-shajar
jaane ye kab tak rahenge yun hawa ke dosh par
ku-ba-ku qarya-ba-qarya yam-ba-yam mahw-e-safar
dukh ke lambe silsile aur chand lamhon ki KHushi
hae apni zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.