jab dekho dur KHalaon mein
jab dekho duur ḳhalāoñ meñ
ik chehra sā ban jaatā ho
jab tanhā.ī ke milte hī
vo yaad tumheñ aa jaatā ho
jab anjāne meñ chupke se
ik naam se nisbat ho jaa.e
jab us ko sochte rahne se
kuchh dil ko rāhat ho jaa.e
jab raat achānak niiñd khule
us paikar kī hī yaad aa.e
jab apnī sāñsoñ se tum ko
ek shaḳhs kī ḳhushbū sī aa.e
jab an-jānā ehsās liye
vo zehn-o-dil par chhā jaa.e
jab duniyā bhar meñ us ke sivā
koī aur nazar hī nā aa.e
tab samjho 'mīnā' tum ne bhī
ab ishq kā dāman thaam liyā
ik ḳhvāb kabhī jo dekhā thā
ta.abīr ko apne naam kiyā
ta.abīr ko apne naam kiyā
jab dekho dur KHalaon mein
ek chehra sa ban jata ho
jab tanhai ke milte hi
wo yaad tumhein aa jata ho
jab anjaane mein chupke se
ek nam se nisbat ho jae
jab us ko sochte rahne se
kuchh dil ko rahat ho jae
jab raat achanak nind khule
us paikar ki hi yaad aae
jab apni sanson se tum ko
ek shaKHs ki KHushbu si aae
jab an-jaana ehsas liye
wo zehn-o-dil par chha jae
jab duniya bhar mein us ke siwa
koi aur nazar hi na aae
tab samjho 'mina' tum ne bhi
ab ishq ka daman tham liya
ek KHwab kabhi jo dekha tha
tabir ko apne nam kiya
tabir ko apne nam kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.