jab hum pahli bar mile the
jab ham pahlī baar mile the
mausam kitnā ujlā thā
maiñ thā ik āzād parinda
nīl-gagan meñ uḌne vaalā
tum bhī itne umr-rasīda kab the
bāloñ meñ ye chāñdī kab thī
lahje meñ khanak āñkhoñ meñ chamak thī
baat baat par zor se hañsnā
aadat meñ bhī shāmil thā
sab ke dukh sukh kā hissa ban jaanā
fitrat meñ bhī shāmil thā
lekin ab aisā lagtā hai
tum se bichhaḌne kā pal
shāyad aa pahuñchā hai
tum se bichhaḌ kar kal maiñ jab
is moḌ pe phir vāpas ā.ūñgā
saare raste sab dīvāreñ aur darvāze
mujh se mere saath ke baare meñ pūchheñge
rām-nārāyan aur kedār bhī
phir ye raaz na kholeñge
aur mirī āñkhoñ meñ saarā manzar
dhundlā dhundlā ho jā.egā
lekin maiñ biite lamhoñ se
phir us ko ujlā kar lūñgā
aur phir yaad mujhe aa.egā
jab ham pahlī baar mile the
mausam bilkul aisā hī thā
jab hum pahli bar mile the
mausam kitna ujla tha
main tha ek aazad parinda
nil-gagan mein uDne wala
tum bhi itne umr-rasida kab the
baalon mein ye chandi kab thi
lahje mein khanak aankhon mein chamak thi
baat baat par zor se hansna
aadat mein bhi shamil tha
sab ke dukh sukh ka hissa ban jaana
fitrat mein bhi shamil tha
lekin ab aisa lagta hai
tum se bichhaDne ka pal
shayad aa pahuncha hai
tum se bichhaD kar kal main jab
is moD pe phir wapas aaunga
sare raste sab diwaren aur darwaze
mujh se mere sath ke bare mein puchhenge
ram-narayan aur kedar bhi
phir ye raaz na kholenge
aur meri aankhon mein sara manzar
dhundla dhundla ho jaega
lekin main bite lamhon se
phir us ko ujla kar lunga
aur phir yaad mujhe aaega
jab hum pahli bar mile the
mausam bilkul aisa hi tha
- Book : Udas Lamhon Ke Mausam (Poetry) (Pg. 32)
- Author : Farooq Bakhshi
- Publication : Modern Publishing House (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.