jab main apne andar jhank raha tha
jab maiñ apne andar jhāñk rahā thā
ek kuaañ thā
Dol maiñ us meñ Daal rahā thā
ik rassī sāñsoñ kī
mere ashkoñ meñ bhīgī
uupar nīche aatī jaatī
maiñ us ko bāhar
vo mujh ko andar khīñch rahā thaa!
jab main apne andar jhank raha tha
ek kuan tha
Dol main us mein Dal raha tha
ek rassi sanson ki
mere ashkon mein bhigi
upar niche aati jati
main us ko bahar
wo mujh ko andar khinch raha tha!
- Book : Sitara Ya Aasman (Pg. 120)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.