jab raat kī nāgin Dastī hai
nas nas meñ zahr utartā hai
jab chāñd kī kirneñ tezī se
us dil ko chiir ke aatī haiñ
jab aañkh ke andar hī aañsū
sab jazboñ par chhā jaate ho
tab yaad bahut tum aate ho
jab dard kī jhānjhar bajtī hai
jab raqs ġhamoñ kā hotā hai
ḳhvāboñ kī taal pe saare dukh
vahshat ke saaz bajāte haiñ
gaate haiñ ḳhvāhish kī lai meñ
mastī meñ jhūmte jaate haiñ
sab jazboñ par chhā jaate ho
tab yaad bahut tum aate ho
jab raat ki nagin Dasti hai
nas nas mein zahr utarta hai
jab chand ki kirnen tezi se
us dil ko chir ke aati hain
jab aankh ke andar hi aansu
sab jazbon par chha jate ho
tab yaad bahut tum aate ho
jab dard ki jhanjhar bajti hai
jab raqs ghamon ka hota hai
KHwabon ki tal pe sare dukh
wahshat ke saz bajate hain
gate hain KHwahish ki lai mein
masti mein jhumte jate hain
sab jazbon par chha jate ho
tab yaad bahut tum aate ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.