jab tamannaen muskuraati hain
jab tamannā.eñ muskurātī haiñ
phuul bantī haiñ aur mahaktī haiñ
koī chupke se mere siine meñ
sub.h kā nuur ghol jaatā hai
khiḌkiyāñ dil kī khol jaatā hai
sāf-shaffāf se darīchoñ meñ
raqs kartā hai māhtāb koī
dil kī gahrā.iyoñ meñ girte hī
Duub jaatā hai āftāb koī
chāñd aatā hai chāñdnī le kar
jhuk ke taare salām karte haiñ
dil ke zaḳhmoñ kā chāñd taare bhī
kis qadar ehtirām karte haiñ
koñpleñ pyaar aur mohabbat kī
pattiyāñ ban ke sarsarātī haiñ
mish.aleñ shāhrāh-e-hastī par
ġham ke hāthoñ meñ jagmagātī haiñ
mish.aleñ pyaar aur mohabbat kī
jagmagātī haiñ jhilmilātī haiñ
ḳhvāb bantā hai ik haqīqat jab
dil meñ ummīdeñ muskurātī haiñ
koī chupke se mere siine meñ
sub.h kā nuur ghol jaatā hai
khiḌkiyāñ dil kī khol jaatā hai
jab tamannaen muskuraati hain
phul banti hain aur mahakti hain
koi chupke se mere sine mein
subh ka nur ghol jata hai
khiDkiyan dil ki khol jata hai
saf-shaffaf se darichon mein
raqs karta hai mahtab koi
dil ki gahraiyon mein girte hi
Dub jata hai aaftab koi
chand aata hai chandni le kar
jhuk ke tare salam karte hain
dil ke zaKHmon ka chand tare bhi
kis qadar ehtiram karte hain
konplen pyar aur mohabbat ki
pattiyan ban ke sarsaraati hain
mishalen shahrah-e-hasti par
gham ke hathon mein jagmagati hain
mishalen pyar aur mohabbat ki
jagmagati hain jhilmilati hain
KHwab banta hai ek haqiqat jab
dil mein ummiden muskuraati hain
koi chupke se mere sine mein
subh ka nur ghol jata hai
khiDkiyan dil ki khol jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.