jab tarsil baTan tak pahunchi
kal, tirā naama
jo miltā thā hameñ
us ke alfāz tale
muddateñ, ma.ānī kī tashrīhoñ meñ
lutf kā sail-e-ravāñ rahtā thā
rāteñ bistar pe
nasha ḳhvāb kā rakh detī thiiñ
itr meñ Duubī huī dhuup kī paimā.ish par
chāñdnī nīñd, ko lorī kī thapak detī thī
zehn meñ sub.h o masā
ik ajab farhat-e-nau-rasta safar kartī thī
lekin ab... qurbateñ haiñ baham
samā.at ko ..magar...
phone kī ghanTī ko sunñe ko tarastī ḳhvāhish
munqata rābita paane ke liye koshāñ hai
uñgliyāñ rahtī haiñ
ek ek button par raqsāñ
yahī māmūl hai muddat se
magar, telephone
ek ḳhāmosh sadā detā hai
silsila lamhoñ kā
sadiyoñ sā banā detā hai
kal, tera nama
jo milta tha hamein
us ke alfaz tale
muddaten, maani ki tashrihon mein
lutf ka sail-e-rawan rahta tha
raaten bistar pe
nasha KHwab ka rakh deti thin
itr mein Dubi hui dhup ki paimaish par
chandni nind, ko lori ki thapak deti thi
zehn mein subh o masa
ek ajab farhat-e-nau-rasta safar karti thi
lekin ab qurbaten hain baham
samaat ko magar
phone ki ghanTi ko sunne ko tarasti KHwahish
munqata rabita pane ke liye koshan hai
ungliyan rahti hain
ek ek button par raqsan
yahi mamul hai muddat se
magar, telephone
ek KHamosh sada deta hai
silsila lamhon ka
sadiyon sa bana deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.