jab teri samundar aankhon mein
ye dhuup kinārā shaam Dhale
milte haiñ donoñ vaqt jahāñ
jo raat na din jo aaj na kal
pal-bhar ko amar pal bhar meñ dhuāñ
is dhuup kināre pal-do-pal
hoñToñ kī lapak
bāñhoñ kī chhanak
ye mel hamārā jhuuT na sach
kyuuñ raar karo kyuuñ dosh dharo
kis kāran jhūTī baat karo
jab terī samundar āñkhoñ meñ
is shaam kā sūraj Dūbegā
sukh so.eñge ghar dar vaale
aur raahī apnī rah legā
ye dhup kinara sham Dhale
milte hain donon waqt jahan
jo raat na din jo aaj na kal
pal-bhar ko amar pal bhar mein dhuan
is dhup kinare pal-do-pal
honTon ki lapak
banhon ki chhanak
ye mel hamara jhuT na sach
kyun rar karo kyun dosh dharo
kis karan jhuTi baat karo
jab teri samundar aankhon mein
is sham ka suraj Dubega
sukh soenge ghar dar wale
aur rahi apni rah lega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.