jab tum mujhse milne aao
tumhārī apnī duniyā hai
tumhāre roz-o-shab shām-o-sahar apne
tum ik āzād panchhī ho
mirī jāgīr kā hissa nahīñ ho tum
magar kal shaam jab tum mujh se milne aao
(jaisā tum ne likkhā hai)
to āñkhoñ meñ
zarā kājal lagā aanā
tumhaari apni duniya hai
tumhaare roz-o-shab sham-o-sahar apne
tum ek aazad panchhi ho
meri jagir ka hissa nahin ho tum
magar kal sham jab tum mujh se milne aao
(jaisa tum ne likkha hai)
to aankhon mein
zara kajal laga aana
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 95)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.