jabr-e-hayat
ye chāhtā huuñ ki kuchh der ke liye hamdam
tujhe bhī dil se bhulā.ūñ maiñ ḳhud ko bhī bhūlūñ
uḌuuñ lagā ke taḳhayyul ke par zamīnoñ se
kamand pheñkūñ falak par sitāroñ ko chhū luuñ
machā.ūñ dhūmeñ kabhī kahkashāñ meñ aur kabhī
dhanak ko god meñ le kar ghaTāoñ meñ jhūlūñ
buland ho ke bahār-o-ḳhizāñ ke 'ālam se
riyāz-e-anjum-o-mahtāb meñ phalūñ phūlūñ
magar uḌaan kī qīmat kahāñ se dūñgā maiñ
bulandiyoñ se girūñgā to kyā karūñgā maiñ
ye chahta hun ki kuchh der ke liye hamdam
tujhe bhi dil se bhulaun main KHud ko bhi bhulun
uDun laga ke taKHayyul ke par zaminon se
kamand phenkun falak par sitaron ko chhu lun
machaun dhumen kabhi kahkashan mein aur kabhi
dhanak ko god mein le kar ghaTaon mein jhulun
buland ho ke bahaar-o-KHizan ke 'alam se
riyaz-e-anjum-o-mahtab mein phalun phulun
magar uDan ki qimat kahan se dunga main
bulandiyon se girunga to kya karunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.