jagah
unhoñ ne sub.h aur shaam ke aḳhbār uThā.e
aur raddī vaale ko de diye
hamāre ghar meñ
kūḌe-karkaT kī jagah nahīñ
unhoñ ne kitāb uThā.ī
aur galī meñ pheñk dī
hamārī almārī meñ
be-kār alfāz ke liye
koī jagah nahīñ
unhoñ ne saada kāġhaz uThā.e
aur apnā muñh poñchhne lage
apne bachchoñ ke liye jahāz banāne lage
kāġhaz isī kaam aatā hai
unhoñ ne kahā
aur har taraf jahāz uḌāne lage
phir hameñ aur kāġhaz aur lafz ko
apne itne qarīb dekh kar
unhoñ ne hameñ uThāyā
aur ghar se bāhar
saḌak par khaḌā kar diyā
ham ne unheñ dekhā
aur dekhte hī apnī āñkheñ band kar liiñ
un ke liye hamāre dil meñ
koī jagah nahīñ thī
unhon ne subh aur sham ke aKHbar uThae
aur raddi wale ko de diye
hamare ghar mein
kuDe-karkaT ki jagah nahin
unhon ne kitab uThai
aur gali mein phenk di
hamari almari mein
be-kar alfaz ke liye
koi jagah nahin
unhon ne sada kaghaz uThae
aur apna munh ponchhne lage
apne bachchon ke liye jahaz banane lage
kaghaz isi kaam aata hai
unhon ne kaha
aur har taraf jahaz uDane lage
phir hamein aur kaghaz aur lafz ko
apne itne qarib dekh kar
unhon ne hamein uThaya
aur ghar se bahar
saDak par khaDa kar diya
hum ne unhen dekha
aur dekhte hi apni aankhen band kar lin
un ke liye hamare dil mein
koi jagah nahin thi
- Book : saarii nazmen (Pg. 438)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.