jahan dariya utarta hai
1
sarishk-e-ḳhūñ ruḳh-e-mazmūn pe chaltā hai to ik rasta
nikaltā hai
nadī dariyā pe tham jaa.e
lahū nuqte pe jam jaa.e to unvān-e-safar Thahre
usī raste pe sarkash raushnī tāroñ meñ Dhaltī hai
usī nuqte kī suulī par payambar baat karte haiñ
mujhe chalnā nahīñ aatā
shab-e-sākin kī ḳhāna-zād tasvīro gavāhī do
fasīl-e-sub.h-e-mumkin par mujhe chalnā nahīñ aatā
mire chashmoñ meñ shor-e-āb yakjā bar-shakālī hai
nadī maqrūz bādal kī
mirā dariyā savālī hai
rag-e-harf-e-zubūñ meñ jo charāġh-e-ḳhūñ safar meñ hai
abhī us nuqta-e-āḳhir ke ziine tak nahīñ aatā
jahāñ jallād kā ghar hai
jahāñ dīvār-e-sub.h-e-zāt ke raḳhne se nigah-e-ḳhashmagīñ
bārūd kī chashmak Darātī hai
jahāñ suulī ke mimbar par payambar baat karte haiñ
2
ab in bātoñ ke sikke jeb ke andar khanakte haiñ ki jin par
qasr-e-shāhī ke manāzir
aslaha-ḳhānoñ se jaarī hukm kunda haiñ
bhare bāzār meñ tifl-e-tahī-kīsa pareshāñ hai ki us ke paañv
Taksāloñ ke raste se abhī nā-āshnā haiñ
aur us kā baap gūñgā hai
nadī ruk ruk ke chaltī hai
takallum rehn rakhne se safar āsāñ nahīñ hotā
huā paspā jahāñ paanī
jahāñ maujoñ ne zanjīr-e-vafā pahnī sipar girdāb kī rakh dī
alam rakhe qalam rakhe
ḳhafā bādal ne jin pāyāb dariyāoñ se muñh moḌā
jahāñ tārāj hai khetī
jahāñ qarya ujaḌtā hai
tanāb-e-rāh kaTtī hai kahīñ ḳhema ukhaḌtā hai
vahāñ se duur hai nadī
vahāñ se duur hai bachcha ki us ke paañv
dariyāoñ ke raste se abhī nā-āshnā haiñ
aur us kā baap gūñgā hai
use chalnā nahīñ aatā
fasīl-e-sub.h-e-mumkin par use chalnā nahīñ aatā
3
sahar ke paas haiñ mansūḳh sharteñ sulh-nāme kī
sabā dars-e-ziyāñ-āmoz kī tafsīl rakhtī hai
kisī tamsīl meñ tum ho
kisī ijmāl meñ maiñ huuñ
kahīñ qirtās ḳhālī kā vo be-unvān sāhil hai
jahāñ āshuftagān-e-adl ne hathiyār Daale haiñ
bahut zāteñ haiñ sadmoñ kī
ka.ī hisse haiñ siine meñ nafas gum-karda lamhe ke
ka.ī tabqāt haiñ din ke
kahīñ sub.h-e-mukāfāt-e-suḳhan ke mantaqe meñ tum muqayyad ho
kisī pichhle pahar ke sulh-nāme kī adālat meñ
kaḌī shartoñ par apne dastaḳhat ke rū-ba-rū maiñ huuñ
suno qirtās-e-ḳhālī ke sipar-andāz sāhil se
havā kyā baat kahtī hai
idhar us dūsre sāhil se jo mallāh aayā hai
zamīneñ bechtī bastī se kyā paiġhām laayā hai
koī ta.azīr kī dhamkī
koī va.ada rihā.ī kā
koī aañsū
koī chhuTTī
1
sarishk-e-KHun ruKH-e-mazmun pe chalta hai to ek rasta
nikalta hai
nadi dariya pe tham jae
lahu nuqte pe jam jae to unwan-e-safar Thahre
usi raste pe sarkash raushni taron mein Dhalti hai
usi nuqte ki suli par payambar baat karte hain
mujhe chalna nahin aata
shab-e-sakin ki KHana-zad taswiro gawahi do
fasil-e-subh-e-mumkin par mujhe chalna nahin aata
mere chashmon mein shor-e-ab yakja bar-shakali hai
nadi maqruz baadal ki
mera dariya sawali hai
rag-e-harf-e-zubun mein jo charagh-e-KHun safar mein hai
abhi us nuqta-e-aKHir ke zine tak nahin aata
jahan jallad ka ghar hai
jahan diwar-e-subh-e-zat ke raKHne se nigah-e-KHashmagin
barud ki chashmak Daraati hai
jahan suli ke mimbar par payambar baat karte hain
2
ab in baaton ke sikke jeb ke andar khanakte hain ki jin par
qasr-e-shahi ke manazir
aslaha-KHanon se jari hukm kunda hain
bhare bazar mein tifl-e-tahi-kisa pareshan hai ki us ke panw
Taksalon ke raste se abhi na-ashna hain
aur us ka bap gunga hai
nadi ruk ruk ke chalti hai
takallum rehn rakhne se safar aasan nahin hota
hua paspa jahan pani
jahan maujon ne zanjir-e-wafa pahni sipar girdab ki rakh di
alam rakhe qalam rakhe
KHafa baadal ne jin payab dariyaon se munh moDa
jahan taraj hai kheti
jahan qarya ujaDta hai
tanab-e-rah kaTti hai kahin KHema ukhaDta hai
wahan se dur hai nadi
wahan se dur hai bachcha ki us ke panw
dariyaon ke raste se abhi na-ashna hain
aur us ka bap gunga hai
use chalna nahin aata
fasil-e-subh-e-mumkin par use chalna nahin aata
3
sahar ke pas hain mansuKH sharten sulh-name ki
saba dars-e-ziyan-amoz ki tafsil rakhti hai
kisi tamsil mein tum ho
kisi ijmal mein main hun
kahin qirtas KHali ka wo be-unwan sahil hai
jahan aashuftagan-e-adl ne hathiyar Dale hain
bahut zaten hain sadmon ki
kai hisse hain sine mein nafas gum-karda lamhe ke
kai tabqat hain din ke
kahin subh-e-mukafat-e-suKHan ke mantaqe mein tum muqayyad ho
kisi pichhle pahar ke sulh-name ki adalat mein
kaDi sharton par apne dastaKHat ke ru-ba-ru main hun
suno qirtas-e-KHali ke sipar-andaz sahil se
hawa kya baat kahti hai
idhar us dusre sahil se jo mallah aaya hai
zaminen bechti basti se kya paigham laya hai
koi tazir ki dhamki
koi wada rihai ka
koi aansu
koi chhuTTi
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 384)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.