jahan main hun
jahāñ maiñ huuñ
hazāroñ ḳhvāhisheñ āsūdgī kī zindagī kā pairahan ban kar
mirī majbūriyoñ ko apne dāman meñ chhupātī haiñ
taḳhayyul kā jahāñ ābād gaahe kuchh na.e
lekin hazāroñ vaqt-ḳhurda ḳhush-nazar goshoñ kī zindānī
tilsmātī fazā meñ dilkashī kā nuur bhartā hai
inhī goshoñ meñ āvāra ḳhirāmī kī hikāyat
mujh ko kaif-e-sarmadī ke be-zabāñ lamhoñ kī
ra.anā.ī se ham-āġhosh kartī hai
shabāna roz kī jehd-e-musalsal se
anokhī azmatoñ ke dā.eroñ meñ lā ke nā-āsūdgī kī zindagī ko maiñ
kamāl-e-andāz istiġhnā se apnātā huuñ
apne jī meñ ye Thāne
koī us ko na jānegā
koī mujh ko na pā.egā
zamāne kī haqīqat meñ nigāhoñ ko
bhalā rokā kisī ne asal kī tag tak pahuñchne se
ye merī dil-girafta kaifiyat jis ne
piyā hai zindagī-bhar ḳhūn-e-rag-e-jāñ kā
barahna baat kahne par bhī mujh ko is tarah uryāñ nahīñ kartī
nigāh-e-ahl-e-dil meñ faash kartī haiñ mujhe jaise
mirī majbūriyāñ jin kī pyaas rañj-e-mahrūmī
tah-e-dāman lahū se apne sīñchā thā
jahan main hun
hazaron KHwahishen aasudgi ki zindagi ka pairahan ban kar
meri majburiyon ko apne daman mein chhupati hain
taKHayyul ka jahan aabaad gahe kuchh nae
lekin hazaron waqt-KHurda KHush-nazar goshon ki zindani
tilsmati faza mein dilkashi ka nur bharta hai
inhi goshon mein aawara KHirami ki hikayat
mujh ko kaif-e-sarmadi ke be-zaban lamhon ki
ranai se ham-aghosh karti hai
shabana roz ki jehd-e-musalsal se
anokhi azmaton ke daeron mein la ke na-asudgi ki zindagi ko main
kamal-e-andaz istighna se apnata hun
apne ji mein ye Thane
koi us ko na jaanega
koi mujh ko na paega
zamane ki haqiqat mein nigahon ko
bhala roka kisi ne asal ki tag tak pahunchne se
ye meri dil-girafta kaifiyat jis ne
piya hai zindagi-bhar KHun-e-rag-e-jaan ka
barahna baat kahne par bhi mujh ko is tarah uryan nahin karti
nigah-e-ahl-e-dil mein fash karti hain mujhe jaise
meri majburiyan jin ki pyas ranj-e-mahrumi
tah-e-daman lahu se apne sincha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.