jab paas nahīñ kuchh bhī mere
ḳhvāhish maqsad ādarsh ke TuuTe ā.īne
phir gardish-e-roz-o-shab kā mujhe ehsās hai kyuuñ
kyā ġham mujh ko jab sub.h kī koī fikr nahīñ
aur shām-e-alam se Dar bhī nahīñ
vo paañv meñ ab chakkar bhī nahīñ
saa.e kī koī hājat bhī nahīñ
ab maut kā khaTkā koī ḳhalish mauhūm tamannā kā armāñ
kuchh bhī to nahīñ
phir kaise maiñ kahtā huuñ mujhe
mausam ke badalte rañgoñ kā ehsās hai bas
aisā to nahīñ maiñ mar bhī chukā
aur koī nahīñ hai nauha-kunāñ
(māzī kī rivāyat, haal kā ġham fardā kī umīdeñ kyā hoñgī)
jab un se nahīñ maiñ vābasta
phir kyā hai koī raaz to hai
ik aag sī jaltī rahtī hai rag rag meñ mirī
ik be-ma.anī sā dard mirā ehsās jagātā rahtā hai
is tarah ki maiñ sab kuchh yūñhī mahsūs karūñ aur kuchh na kahūñ
jab tak ye jahannam raushan hai
maiñ zinda huuñ
jab pas nahin kuchh bhi mere
KHwahish maqsad aadarsh ke TuTe aaine
phir gardish-e-roz-o-shab ka mujhe ehsas hai kyun
kya gham mujh ko jab subh ki koi fikr nahin
aur sham-e-alam se Dar bhi nahin
wo panw mein ab chakkar bhi nahin
sae ki koi hajat bhi nahin
ab maut ka khaTka koi KHalish mauhum tamanna ka arman
kuchh bhi to nahin
phir kaise main kahta hun mujhe
mausam ke badalte rangon ka ehsas hai bas
aisa to nahin main mar bhi chuka
aur koi nahin hai nauha-kunan
(mazi ki riwayat, haal ka gham farda ki umiden kya hongi)
jab un se nahin main wabasta
phir kya hai koi raaz to hai
ek aag si jalti rahti hai rag rag mein meri
ek be-mani sa dard mera ehsas jagata rahta hai
is tarah ki main sab kuchh yunhi mahsus karun aur kuchh na kahun
jab tak ye jahannam raushan hai
main zinda hun
- Book : shaahraah(12) (Pg. 70)
- Edition : 1955
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.