jahez
jahez ik daur meñ tohfa thā
lekin ab ye la.anat hai
ki jo nāsūr bantā jā rahā hai
zamāne meñ isī la.anat kā ab
dastūr bantā jā rahā hai
bint-e-havvā ko jo sīm-o-zar ke do palḌoñ meñ tolā jā rahā hai
kis liye āḳhir
vo bābul kyā kare jis kī javāñ beTī ke bāloñ meñ
javāñ saalī meñ hī chāñdī utartī jā rahī hai
aur būḌhī maañ kī āñkhoñ meñ ye jo motī chamakte haiñ
to kyā un kī koī qīmat nahīñ duniyā kī nazroñ meñ
inhī rasmoñ kī jakḌan meñ
siyah chādar kī bakkal maar kar nādār kī ḳhāmosh beTī
ghar meñ baiThī bebasī kī boltī tasvīr bantī jā rahī hai
yahī behtar hai
patthar ke zamāne meñ chale jaa.eñ
unhī rasmoñ ko apnā leñ
ki beTī jūñhī paidā ho use dargor kar aa.eñ
jahez ek daur mein tohfa tha
lekin ab ye lanat hai
ki jo nasur banta ja raha hai
zamane mein isi lanat ka ab
dastur banta ja raha hai
bint-e-hawwa ko jo sim-o-zar ke do palDon mein tola ja raha hai
kis liye aaKHir
wo babul kya kare jis ki jawan beTi ke baalon mein
jawan sali mein hi chandi utarti ja rahi hai
aur buDhi man ki aankhon mein ye jo moti chamakte hain
to kya un ki koi qimat nahin duniya ki nazron mein
inhi rasmon ki jakDan mein
siyah chadar ki bakkal mar kar nadar ki KHamosh beTi
ghar mein baiThi bebasi ki bolti taswir banti ja rahi hai
yahi behtar hai
patthar ke zamane mein chale jaen
unhi rasmon ko apna len
ki beTi junhi paida ho use dargor kar aaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.