jaisa mera des
phūloñ kā har samt mahaknā
kaliyoñ kā har roz chaTaknā
bāġhoñ meñ bulbul kā chahaknā
mevoñ kā shāḳhoñ se nikalnā
jaisā merā des hai 'afsar' aisā koī des nahīñ
kaise kaise achchhe dariyā
vo un kā iThlā ke chalnā
do bahneñ haiñ gañgā jamunā
duniyā meñ saanī nahīñ in kā
jaisā merā merā des hai afsar aisā koī des nahīñ
shabnam ne phūloñ ko nikhārā
sūraj ne kuchh aur nikhārā
kaisā samāñ hai pyārā pyārā
ik gulshan hai bhārat pyārā
jaisā merā des hai 'afsar' aisā koī des nahīñ
phulon ka har samt mahakna
kaliyon ka har roz chaTakna
baghon mein bulbul ka chahakna
mewon ka shaKHon se nikalna
jaisa mera des hai 'afsar' aisa koi des nahin
kaise kaise achchhe dariya
wo un ka iThla ke chalna
do bahnen hain ganga jamuna
duniya mein sani nahin in ka
jaisa mera mera des hai afsar aisa koi des nahin
shabnam ne phulon ko nikhaara
suraj ne kuchh aur nikhaara
kaisa saman hai pyara pyara
ek gulshan hai bhaarat pyara
jaisa mera des hai 'afsar' aisa koi des nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.