Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaise fasana KHatm hua

Raj Narayan Raaz

jaise fasana KHatm hua

Raj Narayan Raaz

MORE BYRaj Narayan Raaz

    kamre ḳhāmosh fazā meñ

    ik mānūs ḳhushbū thī

    mahkī sāñsoñ sargam thā

    kanchan qurb hiddat se nikhrī thī

    sūraj ek ek kiran ujlī thī

    palkeñ bojhal, āñkheñ band, havās musaḳhḳhar

    chaḌhtī dhuup meñ ik nasha thā

    is fasāna ik likhnā thā

    kamre ḳhāmosh fazā ḳhālī thī

    qurb ḳhushbū

    kanchan kaayā

    saañs ke sargam

    sab tahlīl hue the

    jaise fasāna ḳhatm huā thā

    Dhaltī dhuup meñ zahr bujhā thā

    vo baiThā thā

    jaise haarī fauj se bichhḌā ek sipāhī

    apnī paspā.ī par gum-sum

    jism ke uupar teġh se likhī tahrīroñ par nādim

    soch rahā ho zaḳhm shumārī se kyā hāsil

    ik jhoñkā thā tez havā aayā aur gayā

    vo patthar ke but sūrat, bilkul behis baiThā thā

    raat lambā gahrā saayā phail gayā thā

    kamre ki KHamosh faza mein

    ek manus si KHushbu thi

    mahki sanson ka sargam tha

    kanchan ka ya qurb ki hiddat se nikhri thi

    suraj ki ek ek kiran ujli thi

    palken bojhal, aankhen band, hawas musaKHKHar

    chaDhti dhup mein ek nasha tha

    is ka fasana ek likhna tha

    kamre ki KHamosh faza KHali thi

    qurb ki KHushbu

    kanchan kaya

    sans ke sargam

    sab tahlil hue the

    jaise fasana KHatm hua tha

    Dhalti dhup mein zahr bujha tha

    wo baiTha tha

    jaise haari fauj se bichhDa ek sipahi

    apni paspai par gum-sum

    jism ke upar tegh se likhi tahriron par nadim

    soch raha ho zaKHm shumari se kya hasil

    ek jhonka tha tez hawa ka aaya aur gaya

    wo patthar ke but ki surat, bilkul behis baiTha tha

    raat ka lamba gahra saya phail gaya tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now