jalwa-e-parda-dar
kis ne kahā ki jā.iye kis ne kahā ki aa.iye
kis ne kahā ki dil se peñg shām-o-sahar baḌhā.iye
kis ne kahā matā-e-nāz nazr-e-niyāz kījiye
kis ne kahā haqīqateñ rehn-e-majāz kījiye
aap ne fitna-e-junūñ aap se aap uThā diyā
haath meñ le ke musht-e-ḳhāk aap ne dil banā diyā
aap ne dil ko ġham diyā ġham ko davām de diyā
jaam meñ Dhaal dī sharāb daur meñ jaam de diyā
ālam-e-kā.enāt meñ aap ne mastiyāñ bharīñ
jalvoñ se vādiyāñ bharīñ naġhmoñ se bastiyāñ bharīñ
aañkh khulī to aañkh meñ rang-e-bahār bhar diyā
shīsha-e-pāk-o-sāf meñ le ke ġhubār bhar diyā
zauq-e-nazar asīr-e-sang ho ke jo dar-ba-dar gayā
aap ga.e kashāñ kashāñ ishq jidhar jidhar gayā
ḳhuub hue nazar nazar kūcha-e-e.atibār meñ
kitne haiñ chaak dekhiye jalva-e-parda-dār meñ
kis ne kaha ki jaiye kis ne kaha ki aaiye
kis ne kaha ki dil se peng sham-o-sahar baDhaiye
kis ne kaha mata-e-naz nazr-e-niyaz kijiye
kis ne kaha haqiqaten rehn-e-majaz kijiye
aap ne fitna-e-junun aap se aap uTha diya
hath mein le ke musht-e-KHak aap ne dil bana diya
aap ne dil ko gham diya gham ko dawam de diya
jam mein Dhaal di sharab daur mein jam de diya
aalam-e-kaenat mein aap ne mastiyan bharin
jalwon se wadiyan bharin naghmon se bastiyan bharin
aankh khuli to aankh mein rang-e-bahaar bhar diya
shisha-e-pak-o-saf mein le ke ghubar bhar diya
zauq-e-nazar asir-e-sang ho ke jo dar-ba-dar gaya
aap gae kashan kashan ishq jidhar jidhar gaya
KHub hue nazar nazar kucha-e-eatibar mein
kitne hain chaak dekhiye jalwa-e-parda-dar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.