kahāñ se aa ga.iiñ rañgīniyāñ tamannā meñ
ki phir ḳhayāl ne laale khilā.e sahrā meñ
tirī nigāh se merī nazar meñ mastī hai
tire jamāl se maujeñ haiñ dil ke dariyā meñ
ye ho rahā hai gumāñ tere jism-e-ḳhūbī par
bhaTak ke huur chalī aa.ī ho na duniyā meñ
nazar meñ kuchle hue motiyoñ kī jhalkāreñ
laboñ pe rang jo miltā hai jām-o-mīnā meñ
vo muskurāte se āñkhoñ meñ be-shumār kañval
vo kasmasātī adā.eñ tamām a.azā meñ
jo goshe goshe meñ pinhāñ hai us kī rāh-e-gurez
ḳhayāl gum huā jaatā hai qadd-e-ra.anā meñ
jamāl-e-yār latīf aarzū hai us se latīf
ye aa.ī hai na vo aa.egā harf-e-sāda meñ
kahan se aa gain ranginiyan tamanna mein
ki phir KHayal ne lale khilae sahra mein
teri nigah se meri nazar mein masti hai
tere jamal se maujen hain dil ke dariya mein
ye ho raha hai guman tere jism-e-KHubi par
bhaTak ke hur chali aai ho na duniya mein
nazar mein kuchle hue motiyon ki jhalkaren
labon pe rang jo milta hai jam-o-mina mein
wo muskuraate se aankhon mein be-shumar kanwal
wo kasmasati adaen tamam aaza mein
jo goshe goshe mein pinhan hai us ki rah-e-gurez
KHayal gum hua jata hai qadd-e-rana mein
jamal-e-yar latif aarzu hai us se latif
ye aai hai na wo aaega harf-e-sada mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.