jamal
kahāñ se aa ga.iiñ rañgīniyāñ tamannā meñ
ki phir ḳhayāl ne laale khilā.e sahrā meñ
tirī nigāh se merī nazar meñ mastī hai
tire jamāl meñ maujeñ haiñ us ke dariyā meñ
ye ho rahā hai gumāñ tere jism-e-ḳhūbī par
bhaTak ke huur chalī aa.ī ho na duniyā meñ
nazar se kuchle hue motiyoñ kī jhalkāreñ
laboñ pe rañg jo miltā hai jām-o-mīnā meñ
vo muskurāte se āñkhoñ meñ be-shumār kañval
vo kasmasātī adā.eñ tamām a.azā meñ
napā-tulā sā tabassum jachī huī sī nazar
sanī sanī sī vo palkeñ ġhubār-e-surmā meñ
vo narm niimā se kundan badan kī rañg-tarañg
banī huī sī vo kirneñ libās-e-zebā meñ
jo goshe goshe meñ pinhāñ hai us ke rāh-e-gurez
ḳhayāl gum huā jaatā hai qadd-e-ra.anā meñ
qadam qadam pe vahī tamkanat kā ek savāl
hai koī dūsrā ham sā savād-e-gañgā meñ
batā maiñ tujh se kahūñ kyā ba-juz vo shauq kī baat
ki Daal rakkhā hai jis ko javāz-e-ma.anī meñ
jamāl-e-yār latīf aarzū hai us se latīf
ye aa.ī hai na vo aa.egā harf-e-sāda meñ
kahan se aa gain ranginiyan tamanna mein
ki phir KHayal ne lale khilae sahra mein
teri nigah se meri nazar mein masti hai
tere jamal mein maujen hain us ke dariya mein
ye ho raha hai guman tere jism-e-KHubi par
bhaTak ke hur chali aai ho na duniya mein
nazar se kuchle hue motiyon ki jhalkaren
labon pe rang jo milta hai jam-o-mina mein
wo muskuraate se aankhon mein be-shumar kanwal
wo kasmasati adaen tamam aaza mein
napa-tula sa tabassum jachi hui si nazar
sani sani si wo palken ghubar-e-surma mein
wo narm nima se kundan badan ki rang-tarang
bani hui si wo kirnen libas-e-zeba mein
jo goshe goshe mein pinhan hai us ke rah-e-gurez
KHayal gum hua jata hai qadd-e-rana mein
qadam qadam pe wahi tamkanat ka ek sawal
hai koi dusra hum sa sawad-e-ganga mein
bata main tujh se kahun kya ba-juz wo shauq ki baat
ki Dal rakkha hai jis ko jawaz-e-mani mein
jamal-e-yar latif aarzu hai us se latif
ye aai hai na wo aaega harf-e-sada mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.