jamaliyat
jamāliyāt kā naqqād jitnā hairāñ hai
vo bāb-e-husn meñ bhī utnā hī pareshāñ hai
jamāliyāt meñ kyā hai jo ḳhud nahīñ fan meñ
jamāliyāt kā mahvar nashāt-e-daurāñ hai
jamāliyāt ko farhañg meñ karo na talāsh
jamāliyāt meñ zulf-e-suḳhan kī afshāñ hai
jamāliyāt ko uslūb meñ shumār karo
jamāliyāt meñ har fard ik dabistāñ hai
jamāliyāt taġhayyur-pazīr hissiyat
jamāliyāt meñ sahrā bhī ik gulistāñ hai
jamāliyāt saqāfat kā haft rañg libās
jo rañg o nasl kī tafrīq se gurezāñ hai
jamāliyāt badalte haiñ māh-o-sāl ke saath
jamāliyāt meñ tārīḳh-e-fikr-e-insāñ hai
jamāliyāt haiñ taḳhlīq fan kā sar chashma
adiib adab ke liye ḳhud jamāl sāmāñ hai
jamāliyāt meñ hai husn-e-kār kā jaadū
jamāliyāt kī tasḳhīr kār-e-mardāñ hai
koī usuul nahīñ husn ke parakhne kā
kahīñ ḳhizāñ hai hasīñ aur kahīñ bahārāñ hai
jahāñ meñ jitne haiñ fankār utnī tarah ke husn
to kyā bañdhe Tike meyār-e-nau kā imkāñ hai
badaltā rahtā hai meyār-e-husn husn ke saath
to kis liye koī naqqād-e-fan pareshāñ hai
jamaliyat ka naqqad jitna hairan hai
wo bab-e-husn mein bhi utna hi pareshan hai
jamaliyat mein kya hai jo KHud nahin fan mein
jamaliyat ka mahwar nashat-e-dauran hai
jamaliyat ko farhang mein karo na talash
jamaliyat mein zulf-e-suKHan ki afshan hai
jamaliyat ko uslub mein shumar karo
jamaliyat mein har fard ek dabistan hai
jamaliyat taghayyur-pazir hissiyat
jamaliyat mein sahra bhi ek gulistan hai
jamaliyat saqafat ka haft rang libas
jo rang o nasl ki tafriq se gurezan hai
jamaliyat badalte hain mah-o-sal ke sath
jamaliyat mein tariKH-e-fikr-e-insan hai
jamaliyat hain taKHliq fan ka sar chashma
adib adab ke liye KHud jamal saman hai
jamaliyat mein hai husn-e-kar ka jadu
jamaliyat ki tasKHir kar-e-mardan hai
koi usul nahin husn ke parakhne ka
kahin KHizan hai hasin aur kahin bahaaran hai
jahan mein jitne hain fankar utni tarah ke husn
to kya bandhe Tike meyar-e-nau ka imkan hai
badalta rahta hai meyar-e-husn husn ke sath
to kis liye koi naqqad-e-fan pareshan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.