Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jammun kashmir bhaarat

Robeena Meer

jammun kashmir bhaarat

Robeena Meer

MORE BYRobeena Meer

    mire andar nihāñ tum ho

    mire dil ho ki jaañ tum ho

    ki mere rāz-dāñ tum ho

    magar andher mat karnā

    kabhī tum der mat karnā

    mirī qismat tumhīñ to ho

    mirī ulfat tumheñ to ho

    mirī chāhat tumhīñ to ho

    mirī izzat tumheñ to ho

    mirī tāqat tumheñ to ho

    mirī himmat tumhīñ to ho

    mujhe tum zer mat karnā

    kabhī tum der mat karnā

    mohabbat ke gulistāñ meñ

    ki is shahr-e-nigārāñ meñ

    saje dil ke shabistāñ meñ

    ḳhizāñ meñ aur bahārāñ meñ

    ki kū-e-ahd-o-paimāñ meñ

    mohabbat ke ye maidāñ meñ

    mujhe tum Dher mat karnā

    kabhī tum der mat karnā

    kabhī tum der mat karnā

    mere andar nihan tum ho

    mere dil ho ki jaan tum ho

    ki mere raaz-dan tum ho

    magar andher mat karna

    kabhi tum der mat karna

    meri qismat tumhin to ho

    meri ulfat tumhein to ho

    meri chahat tumhin to ho

    meri izzat tumhein to ho

    meri taqat tumhein to ho

    meri himmat tumhin to ho

    mujhe tum zer mat karna

    kabhi tum der mat karna

    mohabbat ke gulistan mein

    ki is shahr-e-nigaran mein

    saje dil ke shabistan mein

    KHizan mein aur bahaaran mein

    ki ku-e-ahd-o-paiman mein

    mohabbat ke ye maidan mein

    mujhe tum Dher mat karna

    kabhi tum der mat karna

    kabhi tum der mat karna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now