janaze mein to aaoge na mere
kabhī maiñ zindagī kī nāz-bardārī na kar paayā
hamesha biich meñ haa.il rahā ik ḳhvāb
pāgal ḳhvāb
sote jāgte jo dekhtā huuñ maiñ
ki sar hī sar janāze meñ haiñ mere
aur maiñ bānoñ kī na.ī ik chārpā.ī par sukūñ ke saath leTā hañs rahā huuñ
ik aisī bhiiḌ par
jo mujh ko kāñdhā dene ke liye aapas meñ jhagḌā kar rahī hai
mujhe ye zindagī pairoñ-tale jitnā kuchaltī hai
mirī is ḳhvāb se vābastagī baḌhtī hī jaatī hai
mire jaise kisī gumnām se ik shaḳhs kī āñkhoñ ne
aisā ḳhvāb kyuuñ dekhā
kahāñ dekhā
ye ḳhud mere liye bhī ik pahelī hai
magar hañsiye nahīñ is ḳhvāb par mere
mirā ye ḳhvāb hī to vo kaḌī hai
jo mujh ko zindagī se joḌtī hai
na jaane kab se vo fahrist maiñ tayyār karne lagā huuñ
likhe haiñ naam jis meñ aise logoñ ke
janāze meñ jinheñ honā hī honā chāhiye mere
so un logoñ se rishte bhī
bahut hamvār honā chāhiye mere
maiñ ye bhī jāntā huuñ
mujhe jis shaan se marne kī ḳhvāhish hai
vo mehnat māñgtī hai
kisī had tak bhī jhuk kar dushmanoñ se
sulh kar lene kī himmat māñgtī hai
mohabbat māñgtī hai
duā.eñ māñgtā huuñ zindagī kī is liye maiñ
ki mujh ko vo thoḌā vaqt mil jaa.e
na.e rishte banāne kā
ta.alluq gahre karne kā
vagarna kyuuñ bhalā aa.egā koī
maut ke din ghar pe mere
sanak kah lo ki pāgal-pan
idhar aa kar mirī ye dhun yahāñ tak baḌh ga.ī hai
ki ab maiñ dostoñ se
ḳhushī kī mahfiloñ meñ bhī ye aksar pūchh letā huuñ
janāze meñ to aaoge na mere?
yahāñ chāho to hañs sakte ho mujh par
magar lāshe pe to aañsū bahāoge na mere?
vo hañs dete haiñ merī baat par
aur maiñ kahīñ andar se jaise TuuT jaatā huuñ
magar jab bhī kabhī aisā huā hai
janāze ne mujhe kāñdhā diyā hai
mujhe jab bhī lagā aisā ki maiñ ab thak rahā huuñ
gir rahā huuñ
mire is ḳhvāb ne
mire apne janāze ne mujhe kāñdhā diyā hai
kabhi main zindagi ki naz-bardari na kar paya
hamesha bich mein hail raha ek KHwab
pagal KHwab
sote jagte jo dekhta hun main
ki sar hi sar janaze mein hain mere
aur main banon ki nai ek chaarpai par sukun ke sath leTa hans raha hun
ek aisi bhiD par
jo mujh ko kandha dene ke liye aapas mein jhagDa kar rahi hai
mujhe ye zindagi pairon-tale jitna kuchalti hai
meri is KHwab se wabastagi baDhti hi jati hai
mere jaise kisi gumnam se ek shaKHs ki aankhon ne
aisa KHwab kyun dekha
kahan dekha
ye KHud mere liye bhi ek paheli hai
magar hansiye nahin is KHwab par mere
mera ye KHwab hi to wo kaDi hai
jo mujh ko zindagi se joDti hai
na jaane kab se wo fahrist main tayyar karne laga hun
likhe hain nam jis mein aise logon ke
janaze mein jinhen hona hi hona chahiye mere
so un logon se rishte bhi
bahut hamwar hona chahiye mere
main ye bhi jaanta hun
mujhe jis shan se marne ki KHwahish hai
wo mehnat mangti hai
kisi had tak bhi jhuk kar dushmanon se
sulh kar lene ki himmat mangti hai
mohabbat mangti hai
duaen mangta hun zindagi ki is liye main
ki mujh ko wo thoDa waqt mil jae
nae rishte banane ka
talluq gahre karne ka
wagarna kyun bhala aaega koi
maut ke din ghar pe mere
sanak kah lo ki pagal-pan
idhar aa kar meri ye dhun yahan tak baDh gai hai
ki ab main doston se
KHushi ki mahfilon mein bhi ye aksar puchh leta hun
janaze mein to aaoge na mere?
yahan chaho to hans sakte ho mujh par
magar lashe pe to aansu bahaoge na mere?
wo hans dete hain meri baat par
aur main kahin andar se jaise TuT jata hun
magar jab bhi kabhi aisa hua hai
janaze ne mujhe kandha diya hai
mujhe jab bhi laga aisa ki main ab thak raha hun
gir raha hun
mere is KHwab ne
mere apne janaze ne mujhe kandha diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.