aaj phir
merī āñkhoñ ne do ashkoñ ko janam diyā hai
ek ashk
mere dil par girā hai
aur dūsrā
merī jeb meñ
dil kī to chalo ḳhair hai
lekin jeb meñ girne vaale ashk ne
mere armānoñ ko aag lagā dī hai
jise
maiñ apne andar kī aag se
mazīd bhaḌkā rahā huuñ
sardiyoñ kī tavīl rāteñ
is aag par haath tāpte hue bahut achchhī guzreñgī
aaj phir
meri aankhon ne do ashkon ko janam diya hai
ek ashk
mere dil par gira hai
aur dusra
meri jeb mein
dil ki to chalo KHair hai
lekin jeb mein girne wale ashk ne
mere armanon ko aag laga di hai
jise
main apne andar ki aag se
mazid bhaDka raha hun
sardiyon ki tawil raaten
is aag par hath tapte hue bahut achchhi guzrengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.