janam-din ki KHushi
mujhe is zindagānī ne
sivā.e hasrat-o-kulfat diyā kyā hai
mujhe is dahr meñ aa kar
ba-juz ehsās-e-mahrūmī milā kyā hai
mujhe is bazm-e-gītī ne
sivā.e ranj-e-tanhā.ī diyā kyā hai
mujhe is bāġh-e-hastī se
sivā ḳhār-e-aziyyat ke milā kyā hai
mujhe jis zindagī ne lutf kā ik pal nahīñ baḳhshā
mujhe us kī ḳhushī kyoñ ho
mujhe apne janam-din kī ḳhushī kyoñ ho
mujhe is zindagani ne
siwae hasrat-o-kulfat diya kya hai
mujhe is dahr mein aa kar
ba-juz ehsas-e-mahrumi mila kya hai
mujhe is bazm-e-giti ne
siwae ranj-e-tanhai diya kya hai
mujhe is bagh-e-hasti se
siwa KHar-e-aziyyat ke mila kya hai
mujhe jis zindagi ne lutf ka ek pal nahin baKHsha
mujhe us ki KHushi kyon ho
mujhe apne janam-din ki KHushi kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.