jang aur neki
ġhaur ke qābil hai duniyā kā nizām
is kā har zarra hai ibrat kā maqām
jang se hotī hai paidā muflisī
muflisī se amn ho jaatā hai aam
amn meñ qaumeñ kahāñ letī haiñ maal
maal se baḌhtā hai kibr ai nek-nām
kibr hai phir pesh-ḳhema jang kā
bas yahī chakkar hai jaarī sub.h-o-shām
aa.e din hotī haiñ yuuñ tabdīliyāñ
koī aaqā ban gayā koī ġhulām
aadmī ko zindagī meñ chāhiye
har ghaḌī kartā rahe nekī ke kaam
nekiyoñ kā 'faiz' jaarī ho agar
ḳhud-baḳhud miT jaa.eñ ye jhagḌe tamām
ghaur ke qabil hai duniya ka nizam
is ka har zarra hai ibrat ka maqam
jang se hoti hai paida muflisi
muflisi se amn ho jata hai aam
amn mein qaumen kahan leti hain mal
mal se baDhta hai kibr ai nek-nam
kibr hai phir pesh-KHema jang ka
bas yahi chakkar hai jari subh-o-sham
aae din hoti hain yun tabdiliyan
koi aaqa ban gaya koi ghulam
aadmi ko zindagi mein chahiye
har ghaDi karta rahe neki ke kaam
nekiyon ka 'faiz' jari ho agar
KHud-baKHud miT jaen ye jhagDe tamam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.