jang na hone denge
ham jang na hone deñ
vishva-shāntī ke ham sādhak haiñ jang na hone deñge
kabhī na khetoñ meñ phir ḳhūnī khaad phalegī
khaliyānoñ meñ nahīñ maut kī fasl khulegī
āsmān phir kabhī na angāre uglegā
atom se nagasaki phir nahīñ jalegā
yuddh-vihīn vishv kā sapnā bhang na hone deñge
jang na hone deñge
hathiyāroñ ke Dheroñ par jin kā hai Derā
muñh meñ shāntī baġhal meñ bam dhoke kā pherā
kafan bechne vāloñ se kah do chillā kar
duniyā jaan ga.ī hai un kā aslī chehra
kāmyāb ho un kī chāleñ Dhang na hone deñge
jang na hone deñge
hameñ chāhiye shāntī zindagī ham ko pyārī
hameñ chāhiye shāntī srijan kī hai tayyārī
ham ne chheḌī jang bhuuk se bīmārī se
aage aa kar haath baTā.e duniyā saarī
harī-bharī dhartī ko ḳhūnī rang na lene deñge
jang na hone deñge
bhārat pākistān paḌosī saath saath rahnā hai
pyaar kareñ yā vaar kareñ donoñ ko hī sahnā hai
tiin baar laḌ chuke laḌā.ī kitnā mahñgā saudā
ruusī bam ho yā amerikī ḳhuun ek bahnā hai
jo ham par guzrī bachchoñ ke sang na hone deñge
jang na hone deñge
hum jang na hone den
wishwa-shanti ke hum sadhak hain jang na hone denge
kabhi na kheton mein phir KHuni khad phalegi
khaliyanon mein nahin maut ki fasl khulegi
aasman phir kabhi na angare uglega
atom se nagasaki phir nahin jalega
yuddh-wihin wishw ka sapna bhang na hone denge
jang na hone denge
hathiyaron ke Dheron par jin ka hai Dera
munh mein shanti baghal mein bam dhoke ka phera
kafan bechne walon se kah do chilla kar
duniya jaan gai hai un ka asli chehra
kaamyab ho un ki chaalen Dhang na hone denge
jang na hone denge
hamein chahiye shanti zindagi hum ko pyari
hamein chahiye shanti srijan ki hai tayyari
hum ne chheDi jang bhuk se bimari se
aage aa kar hath baTae duniya sari
hari-bhari dharti ko KHuni rang na lene denge
jang na hone denge
bhaarat pakistan paDosi sath sath rahna hai
pyar karen ya war karen donon ko hi sahna hai
tin bar laD chuke laDai kitna mahnga sauda
rusi bam ho ya ameriki KHun ek bahna hai
jo hum par guzri bachchon ke sang na hone denge
jang na hone denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.