jangal: ek hasht pahlu taswir
shahr ke aare chalāte be-sure bad-rañg shor-o-ġhul se duur
paak rañgoñ kā sanam ābād
paak āvāzoñ kā ik gandharv-lok
shahr vāloñ meñ hai jañgal jis kā naam
sub.h jis kī ek arzañg aur albam jis kī shaam
vo lachaktī fasl ke pahlū meñ kuhnī maar kar kilkāriyāñ bhartī huī
jhanjhanā uThte haiñ moTe chamchamate taar
tape par jaatī hai bal khātī huī āvāz
chhiḌ ga.ī ho duur jaise jal-tarañg
dauḌtī hai sansanī aisī umañg
jaise paanī meñ hazāroñ machhliyāñ ik saath kūdeñ aur chādar chiir jaa.eñ
jaise pakke kaam vaalī sāḌiyāñ lahrā.eñ sarsarā.eñ
gungunā.eñ jaise hañsoñ ke hujūm
gungunā.eñ sarmadī naġhme nujūm
vo sunahrī choliyoñ meñ kas-masāte, gol, ubhre, sāñvle Tiile
gol, ubhre, sāñvle Tiile sunahrī, tañg, raushan choliyāñ
kas-masāte, gol, ubhre sāñvle gadrā.e bhārī saḳht Tiile
vo sunahre-pan ko yāñ-vāñ phaaḌ kar ḳhud phaT paḌā hai shyām-rañg
baar se hai chāk-cholī jhāñktā hai sāñvlī dhartī kā añg
(yaad aatā hai yahāñ tashbīh kā samrāT kālī-dās)
vo khajūroñ ke daraḳhtoñ kī qatār-andar-qatār
ek-dam sīdhī khaḌī sambañdh rekhā.eñ zamīn-o-āsmāñ ke darmiyān
āsmānī shāmiyāna in sutūnoñ ke siroñ ko chhoḌ kar
be-sutūñ gumbad-sā ḳhud laTkā huā
aam kī Dāloñ pe chikne sabz patte
sabz pattoñ par laTaktī kairiyāñ
sabz nannhī kairiyāñ
rañg ras aur svaad ke ḳhvāboñ kī ta.abīroñ ke añkhve khil ga.e
sabz-pīlā sabz-bhūrā sabz-kālā sabz-zarrīñ sabz-nīlā
sabz sabz sabz sabz
sabz-ġhālib rañg kitnī joḌiyoñ ke saath phailā huā
sabz-ġhālib rañg baaqī rañg goyā is ke shade
rās-manDal meñ kanhayyā sabz baaqī us kī gopiyāñ
tez be-had tez be-dam hāñptī mauj-e-havā kī lai
tez be-had tez lekin naġhma-rez
jhūmtā gaatā thiraktā nāchtā māhaul
ek lai meñ raqs karte haiñ fazā dehāt jañgal khet
raqs meñ hai mauj-e-rañg
mauj meñ āvāz
aur phir āvāz meñ ḳhushbū kā raqs
sab ke sab haiñ ek lai ke dā.ere meñ ham-navā ham-raqs bāham ek
duur tak phailāo āzādī mohabbat aur chanchal shāñtī
ek jītī-jāgtī tābinda zinda shāñtī
phūlne-phalne sañvarne kar guzarne kā khulā imkān
shahr vāloñ meñ hai jañgal is kā naam
shahr ke aare chalate be-sure bad-rang shor-o-ghul se dur
pak rangon ka sanam aabaad
pak aawazon ka ek gandharw-lok
shahr walon mein hai jangal jis ka nam
subh jis ki ek arzang aur albam jis ki sham
wo lachakti fasl ke pahlu mein kuhni mar kar kilkariyan bharti hui
jhanjhana uThte hain moTe chamchamate tar
tape par jati hai bal khati hui aawaz
chhiD gai ho dur jaise jal-tarang
dauDti hai sansani aisi umang
jaise pani mein hazaron machhliyan ek sath kuden aur chadar chir jaen
jaise pakke kaam wali saDiyan lahraen sarsaraen
gungunaen jaise hanson ke hujum
gungunaen sarmadi naghme nujum
wo sunahri choliyon mein kas-masate, gol, ubhre, sanwle Tile
gol, ubhre, sanwle Tile sunahri, tang, raushan choliyan
kas-masate, gol, ubhre sanwle gadrae bhaari saKHt Tile
wo sunahre-pan ko yan-wan phaD kar KHud phaT paDa hai shyam-rang
bar se hai chaak-choli jhankta hai sanwli dharti ka ang
(yaad aata hai yahan tashbih ka samraT kali-das)
wo khajuron ke daraKHton ki qatar-andar-qatar
ek-dam sidhi khaDi sambandh rekhaen zamin-o-asman ke darmiyan
aasmani shamiyana in sutunon ke siron ko chhoD kar
be-sutun gumbad-sa KHud laTka hua
aam ki Dalon pe chikne sabz patte
sabz patton par laTakti kairiyan
sabz nannhi kairiyan
rang ras aur swad ke KHwabon ki tabiron ke ankhwe khil gae
sabz-pila sabz-bhura sabz-kala sabz-zarrin sabz-nila
sabz sabz sabz sabz
sabz-ghaalib rang kitni joDiyon ke sath phaila hua
sabz-ghaalib rang baqi rang goya is ke shade
ras-manDal mein kanhayya sabz baqi us ki gopiyan
tez be-had tez be-dam hanpti mauj-e-hawa ki lai
tez be-had tez lekin naghma-rez
jhumta gata thirakta nachta mahaul
ek lai mein raqs karte hain faza dehat jangal khet
raqs mein hai mauj-e-rang
mauj mein aawaz
aur phir aawaz mein KHushbu ka raqs
sab ke sab hain ek lai ke daere mein ham-nawa ham-raqs baham ek
dur tak phailao aazadi mohabbat aur chanchal shanti
ek jiti-jagti tabinda zinda shanti
phulne-phalne sanwarne kar guzarne ka khula imkan
shahr walon mein hai jangal is ka nam
- Book : Intekhaab amiiq hanfii (Pg. 55)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.