jangal ka raja
ka.ī dinoñ se bhūkā pyāsā
baiThā thā jañgal kā raajā
soch rahā thā kyā khā.ūñgā
ab to bhūkā mar jā.ūñgā
bachcho tab ḳhargosh kā bachcha
ghaas pe us ne khelte dekhā
himmat karke us par jhapTā
aur juuñ hī bachche ko pakḌā
bāra-siñghā dekhā us ne
dil meñ apne sochā us ne
ye to hai ik nanhā bachcha
peT bhī is se nahīñ bharegā
laao bāra-siñghā pakḌūñ
ka.ī dinoñ tak khā saktā huuñ
sher ne jhaT ḳhargosh ko chhoḌā
aur bāra-singhe par dauḌā
sher ko apnī jānib aatā
bāra-singhe ne jab dekhā
apnī jaan bachā kar bhāgā
haath na aayā bāra-siñghā
bhaag gayā ḳhargosh bhī bil meñ
kahtā hogā apne dil meñ
jaan bachī so lākhoñ paa.e
buddhū apne ghar ko aa.e
lālach meñ ḳhargosh bhī khoyā
sher bahut pachhtāyā royā
kai dinon se bhuka pyasa
baiTha tha jangal ka raja
soch raha tha kya khaunga
ab to bhuka mar jaunga
bachcho tab KHargosh ka bachcha
ghas pe us ne khelte dekha
himmat karke us par jhapTa
aur jun hi bachche ko pakDa
bara-singha dekha us ne
dil mein apne socha us ne
ye to hai ek nanha bachcha
peT bhi is se nahin bharega
lao bara-singha pakDun
kai dinon tak kha sakta hun
sher ne jhaT KHargosh ko chhoDa
aur bara-singhe par dauDa
sher ko apni jaanib aata
bara-singhe ne jab dekha
apni jaan bacha kar bhaga
hath na aaya bara-singha
bhag gaya KHargosh bhi bil mein
kahta hoga apne dil mein
jaan bachi so lakhon pae
buddhu apne ghar ko aae
lalach mein KHargosh bhi khoya
sher bahut pachhtaya roya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.